Question: Asalam alaikum periods k doran humbistri krli jae to iska kafara kia hoga
Answer: Haalat e haiz mai aurat ki farj mai dukhool karna haram hai is ka koe kaffara nahi hai magar tauba laazim hai lekin agar dubr mai aurat ki ijaazat sai mujaamiat ki jaey tu ye haram nahi hai isi tareeqe sai doosri lazzaat bhi haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalàmwalekum, Kya sauhar ofice jate waqt mouht kis krlein aur wife ka breast v bas ek ya dobar suck krle, aisa krnese wife ko firse nahana padega..aur kapde napaq hojate hai. Àur kya pura sar yani baloko v dhona hoga ya sirf kandhese naha skti hai
Answer: Is tarah se ghusl wajib nahi hota. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ). Update on dated 13-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hambistri k bad hamal k liye biwi ko kis karwat leta chahiye.?
Answer: Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, apni rano ko milaey atkeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151).[Updated on 16-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: nekha k bad humbistri krna jaiz hy
Answer: jee nikah k baad jaiz hai kyun k nikah k baad shohar or biwi aik doosray k liye halaal hojaate hain.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 pg no 357) [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya husband or wife ek dosry k private part ke sucking kar sakty hai???
Answer: Jaiz hay,magar ratoobat ko halaq say nigalna jaiz nahi.(Ref:Istiftaat I-2.) [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Raat Ko Sharamgha Sy pani nikal ana Es Ka koi hal?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from eanswers@najaf .org). Update on dated 07-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mery husband mujy apna penis suck krny ka khty hain kia islam m jaiz hai ya gunna hai please bta den.
Answer: Jaiz hay,magar ratoobat ko halaq say nigalna jaiz nahi.(Ref:Istiftaat I-2.) [Updated on 12-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah k baad do saal Tak humbistari nahi ho payi agar ...toh Kya nikah makroor hojti hai?
Answer: Mard k liye jaiz nahi hai k wo 4 mahine ki muddat sai ziada apni jawaan biwi sai humbistri tark karay lekin agar biwi bhi raazi hai tou phir haraam nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 12-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hamal ka pta lgny k bad Kya sex kiya ja skta hai agr kry tu andr dischrg kr skty hai?
Answer: jaiz hay, Agarcheh mustahab hay keh hamila bivi se hambistari bawuzu ho kar ki jaey.(Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#5) [Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr apni bv sy galti sy pichy sy sex kr liya tw kya usy chorna hoga har hal may ya usy apny ps rakhny k liye halala zarori h ya koi or b hal h is bat ka ??
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Note:(Is se nikah nahe tootta.). Update on dated 14-12-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).