Question: Ager bewi ap sy mubashrat per amada na ho ap ki khawaish per tu kya kerna chahy???? Beghar kisi waja k???
Answer: Bivi k liay ye zaruri hai k jab shohar jinsi lazaten hasil kerna chahe to uski khwahish puri kare or share wajah k bagher shohar ko hum-bistari se nah roke. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 38,Mafhoom e Maslah #2376). [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera nikkah ho gya ha but rukhsti nai hui to kya ma apni bv ka jism mobile pr dakh sakta hu
Answer: jaiz hay (Ref:Ayatullah sistani, mujtahid say pochay gahay sawalat part # 4 page # 72) [Updated on 02-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humbistri k bad orat k under sy manni nikalty rehna sy Kiya hota ha
Answer: 1) Is humbistri se aulad nahi hogi, iske liay hal yeh hai keh aurat ko humbistri ke baad aurat thori der tak chit laiti rahay aur apni raano ko milaye take is se hamal therhne me asani ho (Islam aur Jinsiyat Page 151). 2)Jima(mubasharat) karnay k baad ya mani nikalne k baad mard aur aurat donoo par namaz aur is jaisi doosri ibadat k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya miya biwi ek raat mai 1 bar se zyda sex kr skta ki nahi with ref
Answer: Jima k baad baghair ghusl k dobara jima karna jaiz hay or makhooh bhi nahi hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#5,eidition 1439 ). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya biwi ke sath sex karna lazim hai
Answer: Mard k liay jaiz nahi hai k wo 4 mahine ki muddat sai ziada apni jawaan biwi sai humbistri tark karay lekin agar biwi bhi raazi hai tou phir haraam nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri wife ko humbistri me maza nhi ata kia krun plz help me
Answer: 1- shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker sakta or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay (Ref: jaded faqhi masayl ayat ullaha sistani d b masla 406 pg 236 email rcvd from a sistani d b) 2-mustahab baat e jima recommended orders of intercourse main ye bhi milta hay k koe shaks apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij hojane ki sorat main merd ki khahish tu pori hojati hay laikin aurat ki khahish pori nahi ho pati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi kissing cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi merd ki terah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda s a w w ne irshad fermaya k jo shaks apni aurat se jima karay wo murgh cock ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tab ee karay is k baad jima karay ref tehzibul islam pg 109 or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shaks haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay playing tu kaisa hay aap a s ne fermaya khuch moza iqa nahi no problem laikin ajzaay badan parts odf body k alawa or koe chhez is maqam main dakhil nah karay ref tehzibul islam pg 231 yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu part se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay (Ref: Islam or jinsiyaat mu allif doctor muhhammed taqi ali abdi pg 145 6). 3-jima se pehlay masaas orgasm k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker daba ay tab merd bhi jaldi jaldi dkhool inserting of penis or ikhraaj emiting of penis ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay ref islam or jinsiyaat mu allif doctor muhhammed taqi ali abdi pg 151). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum sir mera swal ye hai k kia nikah k oper nikah krna jahiz hai aik orat k lye same mard se jis se wo pehly nikah wo kr chuki ho aur agar jahiz hai tw es k lye koi shart hai agar?? tw kia shart hain kindly tell me in details
Answer: Miyan biwi ka doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is doosre nikah ki koe ehmiyat nahi hogi, aur is ka pehle nikah k sahi hone ki sorat me koi sharait nahi hain. (Ref : Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani ,edition#41 maslah no 41). [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar or biwi sath rehty.kitny din tak jaiz h k wo physical na ho? Kiu key husband mentally prepare nhi
Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alaikum Alama Sahib mera Sawal ye h k Agr lrki lrky ka nikah ho chuka ho lekin Rukhsati ni hwi to kia wo Rukhsati se pehly hm bistari kr skty hain aur agr krty hain to jaiz h ya gunah h is ka....plzzz is ka jwb bta dain
Answer: 1)Sigha nikah k zaria mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai) .(nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meine pehle be Question kiya tha Lekin jawab nhi aaya......Mera sawal yeh hai ke .......Kya Sex karna Bohat zaroori hai......Sex Ke beghair auLaad nahi ho sakti.....Aur kya sex krNa makrooh hai?Please Reply
Answer: Shohar apni jawan biwi se char mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahi kar sakta (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2377) jab zawja char mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khof ho ke agr us ne ham bistari na ki to zawja haram me pad jayegi is soorat me ahteyate wajib ki bina par shohar ko char mahine se pahle ham bistari karne me jaldi karni hogi (Ref: Minhajus salehin Aytullah Seestani jild-3, page104 masaala no. 341) . [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]