Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 17325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir sote waqat Mani kharis ho Jai or kapre pr lag Jai tu Sirf wo hassa dhoone se kapde pak ho jaige ya pura kapda dhoona lazmi hai

Answer: Agar mani kharij (yani ihtelam) ho jaye to phir or kapre ka wo hissa najis hoga jahan mani lagi hai aur sirf usi hasse dhoone se wo hissa pak ho jaye ga Q us hisse ke alawa baaqi hissa pehle se paak hai. Aur mani kharij hone ki wajah se ghusl karna zaroori hoga, warna namaz aur is jaisi ibabaadaat anjam nahin day sakte. Q ke Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziyada, shehwat ke sath niklay ya bagher shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiyar me ho ya na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,156,344,356). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17368
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar soty howe ehtelaam ho aur us se jo mani nikalti hai woh bed ki chaddar pe lag jaye toh kya woh chaddar napak hojati hai?

Answer: Agar koi paak cheez (jaise ke bed ki chadar) kisi najis cheez (jaise ke mani) se lag jaye aur dono ya in me se koi aik is qadar tar (gheeli) ho ke aik ki tari dusri tak pounch jaye to paak cheez (yani ke chadar) napaak ho jati hai. aur chadar ke jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo hissa napaak hoga aur baqi hissa pak rahay ga. lekin agar paak cheez aur najis cheez dono khushk hon to paak cheez napak nahin hogi. 2: Agar bed ki chadar mani se najis ho jaye to mani ko hatanay ke baad aik dafa qaleel paani is par dala jaye aur jab wo pani beh jaye to kapra pak ho jaye ga, Albatta paani daalne ke baad chadar ko nichorna zaroori hai taake wo pani nikal jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,156). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17475
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jisam me urine kitni quntatity me lag jaiey too kapday napaak hoo jaty hain

Answer: Jism pe insani urine ka 1 qatra bhi lg jae to jism ka vo hissa najis shumar hoga or agr vo hissa ya libas me se koi iss qadr tar (geela) ho k dosre ko bhi tar krde to libas bhi najis hojaega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 44th edition, maslah # 81,119) [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sharab KY foran bad insaan khud ulti kar dy to na pak ho ga

Answer: Sharab Haram bhi hai aur is ke saath sath najis bhi hai lehaza jahan jahan sharab lage gi wo jagh najis (na-pak) ho jaye gi aur use pak karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,108). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it true to wash pots by just water after falling lizard in it

Answer: Jee nahin, paani se bhi dhona zaroori nahin Q ke chapkali (lizard) najis janwaron me se nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,81). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17580
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab kar liya laikin paani maujood nahi hai to kis tarha taharat hogi aur namaz kaise hogi??? Ya is soorat me kya hal hai is masale ka

Answer: Peshab ek aisi najasat hai jo pani k baghair kabhi bhi paak nhi hosakti. Kisi khushk cheez k zariye Peshab k drops ko saaf krlein taa k libas najis na ho lekin halat e majbori me aisi halat me Namaz parhi jaskti hai.. Jese hi pani ka intezam hojaee to pak krna zarori hai (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 835) [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab ke wuzu ke baad wuzu ka pani tango pr or paon pr girne se jism pak rehta he ya napak?

Answer: Agr paani pak hai to iss me koi harj nhi, Jaha jaha vo pani lg rha hai vo maqam pak hi rehta hai Lekin agr vo paani Najis hai to uss se wazo bhi nhi hoskta aur jaha jaha vo pani lgrha ho vo jaga bhi Najis hojati hai. (Reff: Tauzih ul Masail Aqai Sistani, 39th Edition, page number 34) [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir main marketing karta hun ur aksar log sharm gah pa karish kar raha hota hain ur wohi hath milta hain ab mujha wahem ho jata ha main hath dhota bar bar log mazak urata

Answer: Jb tak yaqeen na hojae k ap k hath pe Najast lgi hai uss waqt tak Hatho ko pak krna zaroori nhi hai.. Yaqeen na ho to zyada iss kam ko anjam na dein yh Insan ko wehmi bna deta hai.. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla no. 115) [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17638
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kapre kise dosre ke ghar mein dhone chahiyeen

Answer: Agar wo razi ho to koi haraj nahin hai, dho sakte hain. lekin agar wo raazi nah ho to un ke ghar me is tarah ka kaam karna ye dusre musalman ke maal ko ghasab karna kehlaye ga aur us ki raza mandi ke bager us ke ghar aisa koi tasarruf karna, ye Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394). [Updated on 02-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr kisi ko qatron ki bimari hy or uska pshab shalwar my nikl jaye to kya wo unhin kapron my namaz parh sakta hy ya koi tareeqy kapry paak krny ka btain..

Answer: Najis libas me namaz parhna jaiz nhi hai .. Agar kapra kur ya jari pani main dhoya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee laikin agar usay qaleel pani main dhoya jaey to us kapre ko nichorna zaroori hay. Ref: Tauzeehul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Pg.No.34.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!