Question: sir ge agar kapre ko najast yani ke mani lag jaye tu usko pak kaise kare ge yani ke kapre ko plz tell me fast apne mere pehle sawallo ka bhii jawab nahi diya plz
Answer: bismehi taala, agar koi cheez peshab k alawa kisi najasat se najis ho jaye to woh najasat door karne k baad ek dafa qalil pani us par dala jaye. jab woh pani beh jaye to wo cheez pak ho jati he albatta libas aur us se milti julti cheezo ko nichod lena chahiye ta ke un ka dhowan nikal jaye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.163)
Question: I need to know if some clothes get wet with wine by mistake, how to clean that cloth? Zeeshan
Answer: Najasat door karnay k bad aik dafa qalil pani os per dala jay aur os k bad kapry ko nichorna zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 156). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: tahart main kia kia shamil hota hai?
Answer: Mutahiraat 12 hein. Jo najasat ko pak karti hein. 1. pani 2. zamin 3. suraj 4. istehalah 5. inqelaab 6. inteqaal 7. islam 8. tab,e,yat 9. ain najasat ka zaa,il ho jana 10. nijasat khoor hewaan ka istibra 11. musalman ka ghaa’ib hona 12. zabihah k badan se khoon ka nikal jana in masa,il ki tafseel k liay aap is link par click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/index.php). (Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 142).
Question: agar mani ka ikraj ho aur saray kapray juton sameet pehney hon to libas ko kis tarha saf karna hai
Answer: agar libas mani se najis ho jay to os jagah say najasat door karnay k baad aik dafa qaleel pani is per dala jay aur phir us ko nichoorhna zarori he taa keh un ka ghusala nikal jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 156). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: plz mujhe ye bata dijiye ke woh kapre jo saaf hon koi naapaki na ho to unko normally washing machine main dhoya ja skta hai ya phr un kapro ko bhi 3 bar dhona chahye.
Answer: Agar washing machine k ander ka hissa paak ho or aap k kaprhay bhi najis nah hoon tu phir kaprho ko paak kerna zarori nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 115). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere sawal hai kay din mai kabhi bhi mere peshab ki jagah se kuch nikal ta hai kuch drop jaisa. Kya yah mani hai yah kuch or hai. Iski wajaih se namaz parhna mai mushkil ho ra hi hai.
Answer: Ager ap gusal e janabat se pehle pishaab karte hain or nikalne wali ratobat mani ki terhan na nikli ho or pishaab ke baad istibra bhi karte hain to wo ratobat paak hai, or wazo nahi totta, or na hi gusal wajib hota hai, pas is halat main namaaz phari jasakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , 346 , 347 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: Asalamwalequm sir kya ehtelam hone ke bad wo kapda bhi najis ho jata h jisme wo nejasat tuch nahi hot jaise paint me hi najasat rahti h ya shirit bhi najis ho jati h jab ki shirt me najasat nahi lagi h
Answer: Wssalam o alykum,jis se nijasat nahi milti wo najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalamualaykum main galti se ya janbojh kar aisi cheje dekh ya padh lu phir agar sirf mazi ke kuch katre jari ho jaye to kya wajibe namaz aur dore ahkam kar sakta hoon.
Answer: Wssalam o alykum, Han g anjam de sakte hen mazi se ghusl wajib nahi hota.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Dear sir Asslamu alaikum Mera sawal e hai ke Kya aurat haiz ki hallat mein ho aur woh bimar ho us waqt uska shohar ki nappaki ki jagah ko pak karna jaiz hai kya
Answer: 1)Sohar aur biwi aik dosray ka poora badan(sharamgha bhi) dekh sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400) 2)Sohar ya biwi aik dosray ki nijasat ki jagah ko pak kar sakte hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aik 1 mahinaiy ka bacha jo top feed laita ho paishab karday to libas aur badan najis hai
Answer: Jo cheez aisay sheerkhaar lerkay ya lerki k paishab se najis ho jay jis ne dhoodh k alawa koe ghiza khana shuru nahi ki ho, agar os per aik dafa pani, agarchah kam ho, is terah dala jay k tamaam najis maqamaat per pohanch jay tu wo paal ho jay gi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k mazeed 1 baar os per paani dala jay. Libaas, qaleen or dari waghaira ko nichoorhna bhi zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 155)+( ( Ref: Ayatullah Khoe(R.H),Tauzeehul masail, maslah # 162) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)