Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: are we allowed to eat from an ismaili or bohora? and if allowed are we allowed to eat the meat cooked by them?

Answer: Jab tak Khanay ki Najasat Saabit na Hojaey koi Haraj Nahi. Ref:Tauzeeh-ul-Masaail Masala No.115.

Id: 1678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar admi halat e janabat main ho magar us k kapro k sath najasat na lage ho to kia ghussal k bad wohe kapray dobara pehn sakta hay or kia wo pak he ho gain

Answer: Agar un kapron per mani na lagi ho to wo kapray pak hein aur dubara pehan sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullaha Sistani (d.b.) Masla # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam. mian .D.V.M. ka student hony. mera dog k sath aksar wasta pahrtha hay.humain dog ko uthana bhe pahrta hay.mean 8hrs aisa he hota hay. agha sistni k tozi main lahkha hay k dog najis hay us k hairs. bones. secerations etc. what should we do.

Answer: Dog najis he magar os ki najasat os waqt muntaqil(transfer) ho gi jab dog ya aap k haath is qadar tari ho k aik ki tari doosray ko muntaqil ho jaay to paak cheez najis ho jaay gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119)

Id: 2866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar raat me sotey waqt khwab me aitalam hogaya bistar per tho kya mujhe woh bistar per phir se soya tho kya hum pak rahte

Answer: Agar bister per bhi mani lagi ho tu agar osi jagha soya jay tu agar mani gilahat k sath kaprho per lag jay tu kaprhay najis ho jain gay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #119). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 2871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam Alikum mera sawal ye he k kia maani teast karna haram he insan islam se kharej hojata he kia or insan apni maani teast kar sakta he kia plzzzzzzz answer jaldi digi ye ga ok plzzzzzzzzzzzzzz

Answer: Mani najis hai or nijasat ko khana haram hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #84, 135). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 3742
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera sawal ye hai k are kise chader ko mani lag jae tu wo khushak (dry) ho jae tu pher agr kesi ka hath us chader ko lag jae tu kia haath napak ho jae ga ya nhi

Answer: Agar hath tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigha mani lagi thi to wo hath bhi najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4154
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bili (Cat) is Najis and if cat died in a water tank more than size of Kur. water tank clean and after cleaning water is Pak or Najis

Answer: Agar billi (cat) ki lash ki wajah say pani ka rang(color) ya bo(smell) ya zaiqa(taste) tabdeel nahi hoa tu pani paak hai aur tank bhi paak hai aur agar in main say koe aik bhi cheez pani ki tabdeel hogae tu pani najis hai aur tank bhi najis hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #17,119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4901
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: it is said that al-mutnijis-o is not nijis.plz explain the difference between nijis and mutnijis. what is condition by which 1st mutnijis make a paak thig 2nd mutnijis and 2nd make a paak((pure) thing 3rd mutnijis

Answer: If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis(mutanajis). Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak. For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera sawal ye ha k agar raat ko soty wakt mani nikal jaye tou kya bister wagerah or dosri chezain jin par ham bethty han wo bhi napak hoti han ya nahi

Answer: Agar raat ko sotay huay mani kharij ho jae to wo mani jis jis jigha lagay gi wo jigha najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alykum:janab e aali mera sawal ye hai agar machchar badan par khoon pi raha ho aor usi waqt usko mar dya jaye,to kya uska khoon jo badan pe laga hua ho wo paak shumar hoga ya najis? Braye mehrbani jaldi jawab dijiega...khuda hafiz

Answer: Agar koi shakhs apnay badn par bethay huay machar ko mar day aur wo khoon jo machar nai choosa ho is k badn sai niklay to wo khoon pak hai. laikin ehtiyat e mustahab ye hai k is khoon sai is halat mai perhaiz karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 204)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!