Question: kya ghandy kapray (jis me money kharij hua ho) touch karne se ghusal wajib ho jata hai
Answer: 1: Najis libaas ko chhone se ghusl wajib nahin hota. Han agar najis cheez aur pak cheez men se dono is qadar tar(gheeli) hon ya in men se aik is qadar tar(gheeli) ho ke aik ki tari dusre tak pouch jaaye to faqat jism ka wo hissa napak hoga jahan wo napaki lagi hai, aur use sirf paani se pak karna hoga. 2: Jo cheez peshab ke alawa kisi najasat (maslan mani) se najis ho jaye to (pehle us nijasat ko door kiya jaye ga) agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani (aise paani ko qaleel paani kehte hain jo zameen se na uble aur jis ki miqdaar aik kur se kam ho) us par dala jaye aur is se juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai. albattah libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #119,156,344). [Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koi shaks mani lagay huai kapry pehan le(kushk ar taza dono halato me ) to kya ghusal wajib ho ga. dono halatai bayan farmaye
Answer: 1: Najis libaas ko chhone se ghusl wajib nahin hota. Han agar najis cheez aur pak cheez men se dono ya koi aik is qadar tar(gheeli) ho ke aik ki tari dusre tak pouch jaaye to faqat jism ka wo hissa najis hoga jahan wo nijasat lagi hai, aur use sirf paani se pak karna hoga. lekin agar najis cheez aur pak cheez men se dono ke dono khushk hon paak cheez nahin hogi. 2: Jo cheez peshab ke alawa kisi najasat (maslan mani) se najis ho jaye to (pehle us nijasat ko door kiya jaye ga) agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani (aise paani ko qaleel paani kehte hain jo zameen se na uble aur jis ki miqdaar aik kur se kam ho) us par dala jaye aur is se juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai. albatta libaas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #119,156,344). [Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sofy ya bed ki napak chdr ki wjh sy jism py phny hoy kpry bhi napak ho jay gy kia?
Answer: Agar koi paak cheez (jaise ke aap ke pehne hoye kapre) kisi najis cheez (jaise ke bed ki chadar) se lag jaye aur dono ya in me se koi aik is qadar tar (gheeli) ho ke aik ki tari dusri tak pounch jaye to paak cheez napaak ho jati hai. aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in ke jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo hissa napaak hoga aur baqi hissa pak rahay ga. lekin agar paak cheez aur najis cheez dono khushk hon to paak cheez napak nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sofy ya bed ki napak chdr ki wjh sy jism py phny hoy kpry bhi napak ho jay gy kia?
Answer: Agar koi paak cheez (jaise ke aap ke pehne hoye kapre) kisi najis cheez (jaise ke bed ki chadar) se lag jaye aur dono ya in me se koi aik is qadar tar (gheeli) ho ke aik ki tari dusri tak pounch jaye to paak cheez napaak ho jati hai. aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in ke jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo hissa napaak hoga aur baqi hissa pak rahay ga. lekin agar paak cheez aur najis cheez dono khushk hon to paak cheez napak nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal e Janabat k baad jism par mani khushk hoi wi nazar aye to kya dobara ghusal zaroori ha ?
Answer: Agar wo is tarah se ho ke badan tak pani puhunchne me rokawat bane to zaroori hai ke use hata diya jaye aur agar is ke hat janay ka yaqeen karnay se pehlay ghusl kiya jaye to ghusl batil hai. Isi tarah ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl batil (yani galat) hay. laikin agar ghusl ke baad shak kare ke ghusl sahi kiya hay ya nahi to dobara ghusal karna zaroori nahin. aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kafi hay is tarah ghusl sahi ho jaaye ga. Note. Ye baat yaad rahe ke mard ki Mani najis hay or jis jagha pe muntaqil hone wale Tari ke Sath laghe ghe tu us bhe najis karde ghe phir us jagha ko Paak karna zarori hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373,376,383). [Updated on 09-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya dhuup (in sun) me rakhne se koi bhi nappak kapda pak ho jata h agar sukh jae ....plz plz tell me this
Answer: (Note: Suraj har aik cheez ko paak nahin karta, aur jis ko paak karta hai to us ko bhi chand sharait ke sath paak karta hai). 1: Suraj- zameen, imaarat aur deewar ko 5 sharton ke sath paak karta hai: 1. Najis cheez is tarah tar ho ke agar dusri cheez is se lage to tar ho jaye. lehaza agar wo cheez khushk ho to use kisi tarah tar kar laina chahiye taake dhoop se khushk ho. 2. Us me koi ain nijasat baqi nah reh gayei ho. 3. Koi cheez dhoop me rukawat nah daalay. pas agar dhoop parday, badal ya aisi hi kisi cheez ke peeche se najis cheez par pare aur ise khushk kar day to wo cheez paak nahin hogi. Albatta agar badal itna halka ho ke dhoop ko nah roke to koi haraj nahin. 4. Faqat Suraj, najis cheez ko khushk karay. lehaza misaal ke taur par agar najis cheez hawa aur dhoop se khushk ho to paak nahin hoti. lekin agar kaifiyat ye ho ke ye kaha jaa sake ke ye najis cheez dhoop se khushk huei hai to phir koi haraj nahin. 5. Imarat ke jis hisse me nijasat sarayat kar gayei hai dhoop se aik hi martaba khushk ho jaye. pas agar aik dafa dhoop najis zameen aur imaarat par pare aur is ka oupri hissa khushk kare aur dusri dafa nichlay hisse ko khushk kare to is ka oupri hissa pak hoga aur nichla hissa najis rahe ga. 2: Suraj, najis chattaei ko paak kar detaa hai lekin agar is ki banaawat me dhaage istemaal hue hon to unhein paak nahin karta. isi tarah darakht, deewaar aur darwaaze, khirkiyan suraj se paak hone me ishkaal hai. 3: Agar dhoop najis zameen par pare, is ke bad shak paida ho dhoop paṛne ke waqt zameen tar thi ya nahin ya tari dhoop ke zariye khushk huei ya nahin to wo zameen najis hogi aur agar shak paida ho keh dhoop parne se pehle ain nijaasat zameen par se hataa di gayei thi ya nahin ya yeh keh koi cheez dhoop ko maane thi ya nahin to phir zameen ka paak hona mahall e ishkal hai. 4: Agar dhoop najis deewaar ki aik taraf paṛe aur is ke zariye deewaar ki woh jaanib bhi khushk ho jaaye jis par dhoop nahin paṛi to baeed nahin keh deewaar dono taraf se paak ho jaaye. lekin agar aik din is ke zaaheri hisse ko khushk kare aur agle din baateni hisse ko khushk kare to sirf us ka zaaheri hissah paak hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #185,186,187,188). [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar mjy feel hua ha k mere kapro mai mani k kuch qatry nikal kr lg gay hn but ma apny office mai mojood mai hu or kapry change nhi kar sakta to kya is halat mai ma namaz parh sakta hu?
Answer: Agar aap ko yaqeen hay ke ye Mani hay namaz se pehle badan aur libaas ka pak hona aur isi tara agar Mani kharij hoe ho tu ghusl ka hona zaroori hai. Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye laikin agar in teen alaamato me se ye saare ki saare ya khuch moujood na ho to wo ratubat Mani ke hukum me nahe aae ghe Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,356,787,351,352). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar thora sa pakhana nikal jae tu usay saaf kar k kapre badal kar namaz ho jati ha ya nahana farz ha
Answer: Is ke liye nahana zaroori nahin hai, sirf wo jagh Pani se pak karni hai jis jagh nijasat lagi hai. Isi tarah libas agar najis ho gaya hai to libas me bhi sirf wo jagh Pani se pak karni hai jis jagh nijasat lagi hai aur park karne ke baad wohi libaas dobara pehen sakte hain ya tabdeel bhi kar sakte hai. Albatta wuzu karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #63,156,315). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Billi cat ka toilet galti se haat ya pair ko lag jaye tou kya pani nahana hoga
Answer: Jee nahin, nahana zaroori nahin hai, sirf hath ya pair ko pak karna hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #81,156). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr insan ka jisam napak ho or hath py koi nijasat na lagi ho to wo jis chez ko hath lgaye ga wo b napak ho jye gi?
Answer: Nahin, hath lagne ki wajah se wo cheez napak nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #115,119). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]