Question: Agar anday ki safadi aur zardi mai khoon ho to kia is sai anda najis ho jae ga aur is ka khana haram ho ga ya is mai koi hal moujood hai?
Answer: Anday mai jo khoon hota hai wo pak hota hai, lekin is ka khana haram hai. Agar chah ye khoon ziada ho jo puray anday mai ghul mil na gya hoto osay nikal kar baqi anda khaya ja sakta haiaur agar kam ho aur ghul mil gya ho to is ka niklna wajib nhi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 60, pg # 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: MYRA SAWAL YEH HAI K AGER GUSAL KR K TALAM WALI SHALWAR KO HATH LAGAYA JAYE AOR TALAM HATH MAI PHR LAG JAYE TO KIA PHR GUSAL FARZ HO JAYE GA
Answer: Ghusl wajib nhi ho ga albetta agar wo shalwar najis ho aur shalwar ya aap k hath mai sai koi aik ya donoo is qadr tar(gilay) hon k aik ki tari doosray tk phonch jae to aap ka hath najis ho jae ga. Aur hath ko pak krnay k lie 2 dafa qaleel pani hath par dalain. To hath pak ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119-156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam a laikum mera sawal ye hai ke mard ka sperm girne ke baad agar uske kapre me lag gaya hai to kya mard napak ho gaya? agar napak ho gaya to agar mard wo kapra change karle aur gusul na kare to kya wo paak ho jaega ya nahi plz details me bataen?
Answer: Agr kaprho per mani lag jaay tu kaprhay najis ho jaen gay,or mani hatanay k baad is ko aik mertaba paak kerna hoga aur mani nikalnay k baad namaz or doosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hoga. or agar baghair ghuls kiay aap nay dosray paak kaprhay pehen liay jab k aap k badan per mani nah lagi ho tu paak kaprhay najis nahi honagy. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #80,343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kapde pe peshab k baad mani lag jaye to jo kapde pe mani lagi hai usko badlna hoga ya poore kapde ?aur gushl b karnA HOga?
Answer: Jis kapray par mani or paishab laga hay usko badalna ya paak kerna hoga,aur ghusl e janabat bhi namaz or is jaisi doosri ibadaat k baja lanay k liay kerna zarori hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #786,344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haiz k dauran pehne kapdo ko kitni martaba khngalna chahiye taki wo pak ho jae?
Answer: Khoon ki nijasat hatanay k baad qaleel pani se 1 martaba dhona hoga aur libaas ko nichoorhna bhi zarori hay lainki agar kurr pani se dhoya jay tu nichorhne ki bhi zarorat nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #156+ Jadeed Fiqhi masail, Maslah#44 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya penis se chip chipa liquid nikalne se na pak ho jate hai,n nude picture ,videos dekha gunah hai?
Answer: Agr wo liquid mani nahi hai to pak hai, ager nude se nanggi (sexi) muraad hai to gee dekhna jaiz nahi. (Ref : Ayatull ah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70) , (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal no # 56 , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).
Question: agar manni walay kapray dhoony ky ba-wajood dry hony ke bad manni ke nishaan hoon tu kya wo abi bi na-pak hai?
Answer: Jab tk najasat kisi najis cheez sai alag na ho wo paak nahi ho gi laikin agar smell ya najasat ka color is mai baqi reh jae to koi haraj nahi hai lehaza agr mani libas par sai hata di jae aur libas dho lia jae aur mani ka color libas par baqi reh jae to libas paak ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 164)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kutta (dog) na pak kun hai? Aqli aur sharahi dono jawab required hain. Thanks
Answer: Kutta najis hai hatta k os k baal, hadian, panjay, nakhun, aur ratubatain bhi najis hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 102) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Napaak jism per paak kapray pehnanay say kiya kapray bhee napaak ho jaatay hain? Yani kay agar jism napaak ho or main saaf kapray pehan lon or phir Namaaz say pehlay naha ker saaf kapray pehan loon to kiya who kapray paak consider hon gain ya napaak.
Answer: Agar najis jism geela ho ya jo najasat jism par lagi hui hai wo os paak kapray par lag jae to paak kapra bhi najis ho jae ga. aur namaz k lie kapray ko paak karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: faqeer or miskeen mai kya farq hai ? ayyatulah sistani k mutabiq kitni cheezon ko nijassat consider kiya gaya hai ? juma k khutbey k dohran koy namaz ya baat cheet kar sakta hai ?
Answer: 1)Faqeer yani wo shakhs jis k pas apnay aur apni family k lie saal bhar k akhrajat na hon wo faqeer hai laikin jis shakhs k pas koi hunar, jaidad ya sarmaya ho jis sai wo apnay saal bhar k akhrajat puray kar sakta ho wo faqeer nahi hai, is k alawa miskeen yani wo shakhs jo faqeer sai bhi ziada tungdast ho. 2)10 cheezain najis hain. 1:paishab 2:pakhana 3:manio 4:murdar 5:khoon 6:dog 7:pig 8:kafir 9:sharab 10:najasat khanay walay haiwan ka pasina. 3)Jumay mai imam k khutbay k doran batain karna makrooh hai laikin agar baton ki wajah sai khutba sunnay mai rukowat ho to ehtiyat ki bina par batain karna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889, 80, 722)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).