Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 16965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia pehle se pehne hoe kapre ghuzal e janabat k bad pehn skhte hain?

Answer: Agar kapre najis nah hue hon to pehen sakte hain. Aur agar najis hue bhi hon to kapron me se jo jagah najis huei ho use pak kar ke wohi kapre pehen sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #119,156,356). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16967
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai agr soty huwy ikhtalam ho jye to subha uth kr wo jga wash kr k pak ho skty hai??

Answer: Agar aaen nijasat door karne ke bad aik dafa qaleel paani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to wo jagh ya cheez pak ho jaye gi, albatta libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai taake un ka dhuwan (ghusala) nikal jaye. lekin namaz aur is tarah ki ibadat anjaam dene ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,356). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Mera sawal hy k agr labor pain start na howa ho 1 ya 2 din hon aur leckoria ka rang halka sa brown ho to kia nimaz parh skty hain??

Answer: Leukorrhea (safeed, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahin hai. Ye paak hai or is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. aur is se koi cheez touch ho jaye to najis nahin hoti. Aur is halat men namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ). [Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mazi ko paak kehte h lekin agr maazi kpdho p lg jaye to kya hukm h??

Answer: Agar kapron ko lag jaye to kapre bhi paak hi rahen gay, najis nahin hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,80,345). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar jism napak ho ur banda sehri karly ur sehri ky bad naha ly tu kia roza ho jye ga?

Answer: Jism ke napak hone se aap ki muraad "Halat e janabat" me hona hai to Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main baaqi rehna roze ko baatil kar deta hai (yani roza toot jata hai), lihaaz zaroori hai ke azan subh se pehly ghusl kiya jaye to roza sahi hoga. Lekin agar jaan boojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke is din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye, Aur pehla roza maa-fiz-zimma (yani jo mere zimme hai) ki niyat se rakha jaye aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakhna ho us main bhi qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa is banday par roze ka kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1590,1629). [Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17091
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ethlam ky baad apki bedsheet par koi nishan na payei lakin veham phir kia kary

Answer: Jab tak najis hojane ka yaqeen ya aqalmandaana itmenaan naho ke koi cheez najis hoe hay ya nahe us waqt tak wo cheez paak samje jaaye ghe or Waham aur shak ki soorat me bedsheet paak maani jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #117). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr huwa kharij ho jaye to kia hum unhi kapron mai dobara namaaz parh sakte hain ya nhi?

Answer: Hawa(gas) khaarij hone se kapre najis nahin hote balke paak hi rahte hain lihazaa unhi kapron me dobara namaz parh sakti hain, lekin Hawa(gas) khaarij hone se wuzu, ya tayammum baatil ho jata hai (yani toot jata hai). lihaza wuzu ya tayammum me se jo aap ke zimme ho wo dobara karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17111
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum mera sawal yeh h k agr ap napaak hai tu kya jo dupta ya kapry pehny h woh b napaak ho gy agr un py koi nishan nai lga ho ho or haiz k doran jo kapry pehnty h ya dupta lety h kya woh b napaak ho jata h??

Answer: Janabat ya haiz ki halat me insaan ka poora jism napaak nahin hota balke sirf wo jagah napaak hoti hai jahan wo nijaasat (mani, khoon) lagi ho lekin us napaak jagah ke alawa insaan ka baaqi poora badan paak hi rehta hai lihazaa agar dupatta ya kapre napaak jagah ke ilawa baaqi badan ke sath mas(touch) hue hain to dupatta ya kapre napaak nahin hon gay. Isi tarah agar dupatta ya kapre napaak jagah se hi mas(touch) hue hain lekin ye dupatta ya kapre aur wo napaak jagah dono khushk hon ya in me se koi aik gheela ho lekin gheelaa pan itna kam ho ke aik ki ghilaahat doosre tak nah puhnche to bhi dupatta ya kapre napaak nahin hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119). [Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17260
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mani zameen par gir jay to kesy pak karen zameen ko

Answer: Woh zameen jis mein paani jazb ho jaata ho maslan aisi zameen jis ki satah ret ya bajri par mushtamil ho agar najis ho jaaye to qaleel paani se paak ho jaati hai. Lekin woh zameen jis ka farsh patthar ya eiton ka ho aur aisi sakht zameen ke jis mein paani jazb na hota ho agar najis ho jaaye to qaleel paani se paak ho sakti hai lekin zaroori hai ke us par itna paani daala jaaye ke behne lage aur agar wo paani upar daala jaaye kisi gharhe wagera se baaher na nikal sake aur aik jagah jama ho jaaye to us jagah ko paak karne ka tariqa yeh hai ke jama shuda paani ko kapre ya bartan ki madad se baaher nikaal diyaa jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #173,174). [Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar chati main thora sa pishab nikal jayai to kiya bubara nahana hoga

Answer: Peshab karne (ya nikalne) ki wajh se poora nahana zaroori nahin balke sirf us maqam ko paak karna kaafi hai jahan peshab ki nijasat lagi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,81,119,153,154,787). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!