Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 16702
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar palit kapry gussal krny ka bad phrr pahin ly to kya namaz ho sagti hai aur wo bi shak ki bina pa ka kapry palit hai ya ni?

Answer: Agar shak ho ke kapre najis hue hain ya nahin to wo kapre pak shumar kiye jayen gay aur unhi kapron me namaz parh sakte hain lekin agar yaqeen ho najis ho gaye hain to un kapron me namaz nahin parh sakte, Han! agar us libas me jo najis jagh hai use pak kar liya jaye to usi libas me namaz parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,117,156,787). [Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16821
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar jism per poty lag jaye to Kya ghusal karna zaroori hai ya Sirf us jaga to saaf kardiya jaye

Answer: Is se ghusl karna zaroori nahin, faqat us jagh ko pak karna kaafi hai. Agar koi cheez peshab ke alawa kisi nijaasat (maslan pakhane) se najis ho jaye to nijasat door karne ke baad aik dafa qaleel paani us par dala jaye. jab wo paani beh jaye to wo cheez pak ho jaati hai. albatta libaas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai taake un ka dhowan (ghusalaa) nikal jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #156). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hath per Mani lag jay to foran hath dholain to phir koi Pak chez pakr sakty Hain bad main gusal karlain

Answer: Aisa kar sakte hai Q ke janabat hone ke baad fauran dhusl karna wajib nahin hai balke namaz aur is jaisi ibaadaat ke liye wajib hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #356). [Updated on 04-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16837
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pakhana karny k baad gusal farz hai ya wajib or Farz Or Wajib Gusal K Ehkamat Kya Hen ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Pakhana karne ke baad ghusl nahin karna hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #344). [Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Umrah k niyat k bad agr ehram pr khana (salan) weghera gir jaye tw ehram dhona pry ga?

Answer: 1: Zaroori nahin hai, lekin agar dhona chahen to dho sakte hain Q ke khana (salan) ke girne se ehraam najis nahin hota. albatta ehraam kholna ya us ka tabdeel karna jaiz hai aur ehraam kholne par koi kaffara nahin lagta. 2: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bager zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab dusri chadar mein sharaait maujood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazeh rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198). [Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mujhe ye malum karna tha ki peshab ke baad istinja kitni ungli se Krna chahiye aur dhote waqt kaise rakhna chaiye penis ko

Answer: Peshaab aur pakhanay ke maqam ko pak karna aur is me aap mukhtaar hain jaise chahen taharat karen, albatta daain haath se taharat karna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #61,62,63,76). [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16883
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia koi larka aur larki Islam kabool karna ka bad kise hindu ka gar ma reh sakta hai

Answer: Hindu ke ghar me rehna jaiz hai lekin nijaasat aur taharat ka khayal rakhna zaroori hoga.(kyu ke Hindu ehteyat wajib ki Bina per najis hay ,or agar ye Apne jisam ka koi hissa muntaqil hone wali tare ka Sath Kise Paak cheez per lagahe ghe tu wo Paak cheez bhe ehteyat wajib ki Bina per najis hojaae ghe ) (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,103,104). [Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alekum aagha mera sawal hai ki koi insan ghusl kare pr usse pehle peshab na kare lekin uski koi ratubat bhi na nikle pr ghusl ke baad wo peshab kare or uske baad agr koi ratubat nikal aye wo mani ka hukm thodi rakhegi ...

Answer: Peshaab aur mani ke alawa jo rutoobatien peshaab ke maqam se nikalti hain is ki 3 qism hain: 1. woh rutoobat jo kabhi shehwat ki wajah se mard se kharij hoti hai usay Mazi kehte hain. 2. woh rutoobat jo kabhi mani ke baad kharij hoti hai usay Wazi kehte hain. 3. woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. yeh tamam rutoobatien is surat mein paak hain jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab aur mani se aaloda nah hon. «Peshaab ke baad istebra karne ka faaida» yeh hai ke agar is ne istebra kiya ho aur baad mein is se koi rutoobat kharij ho aur shak kare ke wo peshaab hai ya mazkoorah baala 3 rutoobaton mein koi aik hai to woh mashkook rutoobat paak hai, aur wuzu or ghusl ko bhi baatil nahin kare gi lekin agar istebra nah kiya ho to dobara wuzu kare aur us jagah ko bhi dhoye. Isi tarah «mani nikalne ke baad istebra ka faaida» yeh hai ke agar koi mashkook rutoobat is se kharij ho aur nahin jaanta ke mani hai ya paak rutoobaton mein se koi aik, to wo mujnib ka hukum nahin rakhta aur agar istebra nah kare aur koi rutoobat is se kharij ho aur ihtimaal day ke mani hai to wo mujnib ka hukum rakhta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #88). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16930
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mazi akhraj krte vakat jo pasi piche aye aur smell aye aur vho pant ko lagjae to pant napak ho gi k nahi.

Answer: Peshaab aur mani ke alawa jo rutoobatien peshaab ke maqam se nikalti hain is ki 3 qism hain: 1. woh rutoobat jo kabhi shehwat ki wajah se mard se kharij hoti hai usay Mazi kehte hain. 2. woh rutoobat jo kabhi mani ke baad kharij hoti hai usay Wazi kehte hain. 3. woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. yeh tamam rutoobatien is surat mein paak hain (aur pant ko lag jayen to pant napak nahin hogi) jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab aur mani se aaluda nah hon. «Peshaab ke baad istibra karne ka faaida» yeh hai ke agar is ne istibra kiya ho aur baad mein is se koi rutoobat kharij ho aur shak kare ke wo peshaab hai ya mazkoorah baala 3 rutoobaton mein koi aik hai to woh mashkook rutoobat paak hai, aur wuzu or ghusl ko bhi baatil nahin kare gi lekin agar istibra nah kiya ho to dobara wuzu kare aur us jagah ko bhi dhoye. Isi tarah «mani nikalne ke baad istibra ka faaida» yeh hai ke agar koi mashkook rutoobat is se kharij ho aur nahin jaanta ke mani hai ya paak rutoobaton mein se koi aik, to wo mujnib ka hukum nahin rakhta aur agar istibra nah kare aur koi rutoobat is se kharij ho aur ihtimaal day ke mani hai to wo mujnib ka hukum rakhta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #88). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum! Meiny ye puchna tha k agar kisi kapray py haiz ky nishas hon aur wo saaf kapron k sath ghalti sy rakh dia jaye to saaf kapry bhe kya napak hojyen gyn ?

Answer: Wo kapra jahan haiz ke nishan (khoon) lage hue hain agar wo kisi pak kapay ke sath rakh diya jaye aur ye najis kapra aur wo paak kapron me se koi aik bhi itna tar(gheela) ho ke aik ki tari dusre tak puhunch jaye to wo paak kapray najis ho jayen gay, warna najis nahin hogay, Isi tarah jab tak kisi cheez ke najis hone ka yaqeen na ho wo paak shumar ki jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,117,119). [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!