Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 25297
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam, may jis idare may kama kerta hun wahan kch non muslims bi kaam kerte hian ( christian or hindus) or ziada ter safai ka kaam kerte hian. kabhi kch moke aise ate hian ke sath may baith ke ik plate may khana wagaira khana per jata hy. kia ye jaiz hay..

Answer:

Id: 25322
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mere husband nai napak kapdhe paak na karke geele hi rassi per sukha diye per jab mai maayke se aayi to Maine dekha wo kapdhe bahar sukhe huye hai Maine wo kapdhe dubara dho diye or rassi bhi per mujhe wehem hota rehta hai ki mere husband nai pta nhi ghar mai kha kha wo geele hath lagaye honge or napaki kha kha transfer ho gyi hogi??

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 25351
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 1)Agr shq ho k kapron pr pishab lg gaya hai or ap ussi kapron mai namaz prhlein? Or agr ussi kapron mai ksi jahah pr beth jayein tou kia wo jagah b napak hojayegi? 2) Ya agr ksi napak jagah pr beth jayein jo sookh chuki ho tou kia kapry paleet hojaty uss se? 2) Or agr paleet kapron k sth he paak kapre dhul jaye agr shq ho k wo kapra paleet tha ya nhi tou kia sb kapre paleet hojayeingy?

Answer:

Id: 25366
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam Mera Sawaal Ye Hai Periods ka Daagh agr kapron pe lag jaye or vo kapra wash krny k bd bhi yellow kisam ka stain reh jaye us mai like proper wash kr k 3 dafa paani daal kr paak hony k bd jb vo dry ho jaye mgr yellow stain reh jaye us pe jo nah hatt raha ho.. Tou un kapron mai ibadat ki ja skti hai yaa nahi?

Answer:

Id: 25372
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kia hum ghusal krnay k baad Ehetlam walay kapray ki sirf mani wali jagah dhoo k wohi kapre dobara pehn sakte hain? Taa k pak hus jaa saky? Or dosra kia hum ehtelaam walay kapre se mani dhoo kr ghusal k baad wohi dhoya hua kapra abhi gila ho toh pehn sakty hain?

Answer:

Id: 25498
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam O Alikum sir Mujhay 2 chezain pochni thi 1. Agar napak chez ko ya hathon ko dhona ho to kia kalma parhna zaruri hy ya sirf dho Dena kafi hy 2. Meri aik adat hy agar Mera hath jisam k private part ko bina kapron k direct touch ho jaye to main Kisi chez ko hath nahe lagata jab tak dho na loun. Kia private part ko bina kapron k chonay say napaki ho jati hy aur foran hath dhonay chahiye. Na dhoye aur Kisi chez ko touch kia to napak to nahe Hogi. Plz rehnunai farmain. Main towel b wahan use nahe karta. Aap k reply ka intezar rahay ga.

Answer:

Id: 25502
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Koe bi napak chez jab dry ho jati hain tu pak ho jati hain. likin agar mera hath light oily ho ,matlab mai ne sir pe oil lagaya hua hain ar pir wo hath bs kapre sy saaf kar lo . tu dry tu hote hain . likin thure oily hath tu hote hi hain .tu is condition mai napak dry chez ko hath lag jahy tu .hath napak ho jahy gay. ar wo hath jaha jaha lago ga tu wo sab chez napak ho jahy gi??

Answer:

Id: 25565
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mein jb apnay ghar say bahir niklnay jata hoon to mein cheezon ko bohat overcheck kerta hoon example switch off ho gya Choola (oven) off hai ya nhi. Hand washing k waqt aur bartan dhonay k waqt bhi ye bohat hota hai laikin Alhamdulilah namaz mein aur taharat k waqt aisa nahi hota. Mjhe kaisa ravayya apnana chahiyay. Wasalam

Answer:

Id: 25574
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Sir mujhe puchna h me india m rehta hu yha Hindu se bachna na mumkin h Hindu najis h es ki wajah se mera office or ghar se bhar nikanla band ho gya h dil m dar rehta h ki bhar jane par mera libas or badan dono napak ho jaynge kya hmre liye koi chooth h hm india m rhte h pls answer jaldi den

Answer:

Id: 25621
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam , Karachi mein gandagi bohat Hai jab Azadari k Juloos k liye nikalta hn tou Kabhi mehsoos Hota Hai pani ki cheeten par gayi Hain phr Juloos mein pohanch kr pani SE paak krni ki sauhalat Nahi Hoti aese hi keechar lag jati Hai shalwar k neeche hisse mein jab k Pura jism aur haath paak hote Hain aesi halat mein Juloos mein shirkat aur ziyarat ko haath SE choomna jaiz Hai ?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!