Question: Agar kapro k najas hone ka shak ho to kia kia jaey?
Answer: Pak cheeze os waqt tak najis nahi hoti jab tak oskay najis honay ka yaqeen na ho jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 117) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Sir, Agar Mani razai mi lag jaae or Sukh jaae to razai dhoni hogi ya nahi agar ha to puri dhoni hogi ya bas utni jagha dhoni hogi?
Answer: Jee han dhoni hogi. aur najis faqt wo hi hissa hota hai jahan nijasat lagi hoti lehaza faqt usi ko pak krna kafi hai puri razai ko dhona zaroori nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #24) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi k kapron par mani lagi ho or wo sookh jaye to kia un kapron ko baki paak kapron k sath (jin pr mani nhi lgi) dhoya ja skta h?
Answer: Je han dhoya ja sakta hai, Agar pishab k ilawa kisi our chez say najis ho to aik dafa dhona zarori hay albatta libas or is say milti julti chezon ko nichorna zarori hay takeh is ka dowan nikal jaey. .Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edition 2019 masla #156) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mani Ager bevi ke Muh me gay Jay to kya Kare
Answer: (insan ki mard ki mani najis hay or najis cheez ka khana or pina haram hay ) Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door hojanay se monh paak ho jaata hay or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h,Mafhoom e Maslah #233) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mard ka nafas pak hota hy ya napak?
Answer: Mard ka uzu e tanasul paak hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#80). [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr 2 dost soye hn or ek dost ka ehtalam ho jaye or mani dosry dost k kapro ko lg jaye to kia phir us dost ko b gusal krna pry ga
Answer: Jee nahin, Agar mani kaprhe ko lagi ho tu wo na paak ho jaey ga namaz say pehlay pak karna paray ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019 Mafhoom e Maslah #119) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alaikum, mera question ye hai ki agar kisi insan ko bahut zyada sperm nikalta ho maslan kisi dost se baat kr raha ho ya koi movie dekh raha ho aur sperm undergarments pe lag jaye to kya insan najis ho jayega? Kya gusl wajib ho jayega?
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho to wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho to wo mani nahi balke mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota. or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera aap se dosra sawal yea hai ke agar biwi shohar ki sharam ghah ko choste hue galti se mani halaq main chali jaye to is ke liye kya hukum hai
Answer: Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door hojanay se monh paak ho jaata hay or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h,Mafhoom e Maslah #233) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Mujh yeh maloom krna hai k sootat waaqt ehtilaam k zarye yah koi bhi tareeqay se agar mani kisi electronic item pe lag jai (laptop, mobile etc) toh kia woh cheez na pak ho jati hai? Aur agr ho jati hai toh phr us cheez ki kaise pak kia jai.?
Answer: 1) Koe bhi paak cheeez najis is tarah hote hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(wet) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tar(wetness)i itni kam ho k doseri cheez ko nah lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). 2) Agar koi chiz peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslaa no # 156). [Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya madi or mazi nikalnei sei kaprei doonah lazmi 2or madi or mazi kis rang ki hoti hai.3or madi nikalnei kai baad kaprei donah lazmi hai
Answer: Madi or mazi paak hay or is se wazu bhe batil nahe hota hay . Note : jab madi or mazi paak hay tu kise cheez ko najis bhe nahe kare or agar ye kise kapre wagira per lag jaay tu us ko najis paak karna bhe zarori nahe hay. (ref: tuiziul masail aqa sistani , masala no: 70) [Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]