Question: Mera sawal ye hai k agr carpet or us k uper chadar pr koi napak cheez gir jaye jo k chadar ko napak krnay k bad csrpet ko bhi napak krdy to usko paak kese kia jayega? q k pura carpet dho nhi sakty bht bara hora hai
Answer: 1) Koe bhi paak cheeez najis is tarah hote hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(wet) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tar(wetness)i itni kam ho k doseri cheez ko nah lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). 2) Agar koi chiz peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslaa no # 156). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Ap kahin Safar par kisi aur jagah gaye hon aur wahan rat ko sote huwe ehtlam hojaye aur dosrey kaprey na hon pehnne ko to unhi ko kapro ko dho kar Namaz parhi jaskti hai? Aur dhone se murad pure kapre nai sirf wahi jagah kahan sperm lagi ho ?
Answer: Jee han, Jahan jahan mani lagi hogi un un maqamaat ko paak karna hoga. baqi tamaam kapray or jism dhona zaroori nahin albatta namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 115). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Farsh par nijasat lagi ho to wo khushk ho kar pak hojati hy. Kya yahi hukm tiles k banay howay farsh k liye b hoga yaa sirf cement k farsh k liye ye hukm hy??
Answer: Koe bhi najis cheez khushk hone par paak nahi hoti han kisi or khushk cheez ko najis nahi karay gi. Soraj chhand zameen ko chand sharaet k sath paak karta hay. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no#119,185) [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir bolte hai ki jha nijasat lgi h vhi dholo libas ho ya just to paak jojata hai pura dhone ki zrurat nhi to Kya humbistari k bd bd vhi hissa jha nijasat lgi h dho le to paak hoskte Kya
Answer: Jee han, faqat usi hissay ko dhoya jayega jahan najasat lagi hui hogi, agar koi chiz peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai, albatta libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai take in ka dhowwan nikal jaye. aur agar koi kapra ya badan peshab se najis hua ho to us per 2 dafa pani baha den aur us se peshab juda ho jaye to us surat me keh peshab us kapray me baqi na rahe aur sath me inhen nicherna chahye take ghassala un me se nikal jaye. ( Laikin mani nikalne ke baad ya Apne biwi se jima karne ke baad namaz ke lie gusal janabat alak se karna wajib hay. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 154,155) Hambistari (Intercourse) karne se shohar aur biwi par ghusl bhi wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344) [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jism par kisi janwar ya parinde ka khoon lagjaye to kya hukm hai
Answer: 1).Insan aur khun e jahinda rakhne wale (Yani agar us ki rag kati jaye to khun uchal kar nikalta ho) har haiwan ka khun najis hai, pas aise jawaron , masalan : machli aur machar ka khun jo uchal kar nahi nikalta paak hai. 2).Jin janwaron ka gosht halal hai agar unhen sharee tariqay se zibah kiya jaye aur zaroori miqdar mein us ka khun kharij ho jaye to jo khun badan mein baqi reh jaye woh paak hai, lekin agar (Nikalne wala) khun janwar ke sans khenchne se ya us ka sar buland jagah par hone ki wajah se badan mein palat jaye to woh najis hoga. (Ref: Ayatullah Sayyid Ali Hussaini Sistani, Tauzeeh ul Masail 42nd edition, Masla no # 93,94). [Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir meray mobile par peshab kay katray lag gaye tay kya suknay kay baad wo pak hojayega???
Answer: Jee nahi, khushk hone se pak nahin hoga balke pani se pak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 mafhoom e maslah # 153,154) [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualekum....sir mera sawal h ki plastic ki jo chairs hoti h us pr kuch der bethne k baad humein thoda moisture sa feel hota h toh kya agr koi hindu chair pr baithe to us chair ko paak krna pdega??
Answer: Agar koe paak cheez kisi najis cheez se lag jaey or dono ya in main se aik is qadar tar ho keh aik ki tari doosri tak pohach jaey tu paak cheez najis ho jaey gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 119). [Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya napaki walay libas ma majood wallet napak ha ya pak
Answer: Koi bhi paak cheeez najis is tarah hoti hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(wetness) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tar(wetness)i itni kam ho k doseri cheez ko nah lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119) [Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shohar bivi k upar peshab kr skta h ....or dono iss baat PR razi ho ..
Answer: Jaiz hai, albatta peshab najis hai aur namaz ke liye apne libas ya badan pak ko karna hoga lekin faqat usi hissay ko dhoya jayega jahan peshab laga hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 39th, maslah #81,119,154, and maslah after # 873 5th shart). [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Agr kapron pe money lagi ho or wo kapray sookh chuke hon to kya un kapron se namaz ho sakti h?
Answer: kapray sookh jaaney sai paak nahi hote lehaza in kapron mai namaz nahi hosakti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 84). [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]