Question: AGR pashab Katy hoye 1 ya 2 qattry kapro pe lag jain tu Kia namaz ki phr sakty hn ku k kapry change krny k lye koi jaga ni an he koi extra kapry hn
Answer: Jee nahi pehle us maqaam ko paak kia jaaye phr hi on kaprho mai namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 787). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bathroom ki naali saaf karne se aap napak ho jaate hain kya??
Answer: Agar koi najis chiz lag jaye to ap napaak ho jayenge lekin us ki sharait niche di gaye hain. Agar koi paak chiz kisi najis chiz se lag jaye aur dono ya un men se aik is qadar tar ho keh ek ki tari dosri tak puhanch jaye to pak chiz bhi najis ho jaye gi lekin kayi waston se chiz najis nahi hogi, masalan : agar dayan hath peshab se najis ho jaye aur phir yeh hath nayi ratoobat ke sath bayen hath ko cho jaye to bayan hath najis ho jaye ga , ab agar bayan hath khushk hone ke baad masalan : tar libas se chu jaye to woh libas bhi najis ho jaye ga lekin agar ab woh tar libas kisi dosri tar chiz ko lag jaye to chiz najis nahin hogi aur agar tari itni kam ho keh dosri chiz ko na lage to pak chiz najis nahin hogi khuwah woh ain e naji ko hi kyun na lagi ho. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail 42nd edition , masla no 119 ) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bakri ka khon najis ha ya nhi?
Answer: 1.Insan aur khun e jahinda rakhne wale (Yani agar us ki rag kati jaye to khun uchal kar nikalta ho) har haiwan ka khun najis hai, pas aise jawaron , masalan : machli aur machar ka khun jo uchal kar nahi nikalta paak hai. 2.Jin janwaron ka gosht halal hai agar unhen sharee tariqay se zibah kiya jaye aur zaroori miqdar mein us ka khun kharij ho jaye to jo khun badan mein baqi reh jaye woh paak hai, lekin agar (Nikalne wala) khun janwar ke sans khenchne se ya us ka sar buland jagah par hone ki wajah se badan mein palat jaye to woh najis hoga. (Ref: Ayatullah Sayyid Ali Hussaini Sistani, Tauzeeh ul Masail 42nd edition, Masla no # 93,94). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janab. Mera sawal ye hy ke namaz se pehly stanja kartey waqat Kia pakhany wali jaga ko be dhona chahiey? Ager pakhana na be Kia ho?
Answer: agar kisi aisi chiz ko jo peshab se najis ho gayi ho qaleel pani se dhona maqsood ho to agar us pr aik dafa pani baha den aur us se peshab juda ho jaye to us surat men keh peshab us chiz men baqi na rahe to woh chiz pak ho jayegi , albatta libas aur badan par do dafa pani bahana zaroori hai take paak ho jayen aur libas, qaleen, dari aur in se milti julti chizon ko har dafa pani dalne ke baad nichorna chahiye take ghassala un me se nikal jaye (ghassala ya dhowan us pani ko kehte hain jo kisi dhoyi jane wali chiz se dhulne ke doran ya dhul jane keh baad khud ba khud ya nichorne se nikalta hai ). (ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, Maslah no # 154). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam, qibla mera sawal ye hai agr kisi bartan ma haram khana khaya gaya ho to kia wo bartan pak krne pak ho sakta hai? rahnumai ka talabgar hun plz reply kijye ga
Answer: Agar bartan main najis khana khaya gaya ho tu 3 baar bartan ko dhone se bartan paak ho jata hay or agar koe najis khana nah khaya gaya ho tu bartan najis nahi hoga haan faqat haram cheez ko bartan se door karne k liay dhona zarori hoga. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla#147). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya pak jisam par napak kapry pehnny se gusal wajib ho jata ha
Answer: Jee nahi ghusl wajib nahi hota han agar jism par nijaasat lagi hai tou faqat usay paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 344,119). [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Namaz-e-Jumma ki niyat se ja rahe hon aur raastey mein upar se kuch paani ke drops jism aur libaas pe gir jaayein aur paani ka ilm na ho ke yeh paak hai ya najis to namaz adaa ho sakti hai ya libas aur badan dobara paak karna padega..
Answer: Agar kise paak cheez k bare me shak ho k najis hogae hai ya nahe to wo pak hai. Aur tehqeeq karna bhi zarori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah # 117) [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamunalykum Mera Sawal Ye Hai K Kya Main Apni Hone Wali Wife Se Baat Kar Sakta Hu... or Agar Baat karte Hue Kisi Wajah Se Excited Hokar Mani Nikal Aaye To Kya Ghusa Wajib Hai...Or Kapde Pak Rahenge Ya Nhi. ?
Answer: mard aur khun e jahinda rakhne wale har nar haram gosht janwar ki mani najis hai, aur agar woh kapron par lag jaye to jis jagah par lage woh jagah bhi najis hogi, (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 84,119 ). do cheezon se insan mujnib hojata hai aik jima(sex) aur dosra mani ke kharij hone se khuwah woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344 ). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr cloth py najasat lg jye to kia sirf woi jaga dhoo lain ya phr complete dhoni hy
Answer: dhoya usi hissay ko jayega jidhar najasat lagi hui hai, agar koi chiz peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai, albatta libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai take in ka dhowwan nikal jaye. aur agar koi kapra peshab se najis hua ho to us per 2 dafa pani baha den aur us se peshab juda ho jaye to us surat me keh peshab us kapray me baqi na rahe aur sath me inhen nicherna chahye take ghassala un me se nikal jaye. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 154,155) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGR razayi , kamble ya mattress jaisi bari cheezon pe Mani lg Jaye tou Kya inhe aik Martaba Pani se dho kr pak smjha Jaye ga ya teen martaba dhona or nichorna hoga , kyun ke itni bari cheezon ko teen dafa dhona mumkin nahi, Kya aik dfa dhona kafi hoga
Answer: Agar ain nijasat hatane k baad aik baar kurr paani sai us najis cheez ko is tarah dhoya jaaye k paani tamaam najis maqaamaat tak pohanch jaaye tou wo cheez paak ho jaaye gi or usay nichorna bhi zaroori nahi hoga laikin qaleel pani se paak kiay jaey tu aik baar pani daal kar nichorhna bhi zarori hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 153). [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]