Question: Kia napaak kapron ko aik dfa nichorne se napaaki nikal jati hai oragr wopak kapron k saath dhule hon tou bhi aik dfa nichorna kafi hai.
Answer: Agar koi chiz peshab k alawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai, albatta libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. aur agar koi kapra peshab se najis hua ho to us per 2 dafa pani baha den aur us se peshab juda ho jaye to us surat me keh peshab us kapray me baqi na rahe aur sath me inhen nicherna chahye takeh ghusala un me se nikal jaye . agar kapron ko ek sath machine me dhoya ho aur us ke pani me surf ya koi aisi chiz milayi ho jis se woh pani muzaf ho jaye, to woh pani bhi najis ho jayega aur jitne kapron par woh najis pani lagega usko bhi najis kar dega. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 154,155,45,19 ) [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar napak jism kesi pak jism se touch ho jaye to kya wo b napak ho jaye ga
Answer: agar woh pak hissa najis hissay se lag jaye aur dono me se koi aik gheela ho aur agar taree muntaqil ho jaye to pak hissa bhi najis ho jayega .(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masala No: 119 ) [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar humbistri k bad mani jism p na lgy to kya hum paak rhygy?
Answer: jism ke jis hissay par mani lagi hogi wahi naji hissa najis hoga aur baqi jism hissay pak rahenge ,albatta Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jayega hai warna wajib nahi hoga hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 42 edition, maslah # 119 ,356-8). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hum aapne haat se mani nikale toh kya humare badan ke sath sath humare kapde bhi napak ho jayenge?
Answer: 1.istimna gunahan e kabeera mai sai aik hai. 2.Mani k kharij honay sai ghusal wajib hojaata hai. 3.agar libaas ya badan k kisi maqaam par mani lagi hai tou wo hissa najis hyojaaye ga, warna nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani editon 41 maslah no 119). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wash room k shower ma agar pishab ni nijasat dur kr li jy to pak ho jay ga?
Answer: Libas or badan k alawa jo cheez peshab say najis ho jaey us ki nijasat hatany k bad 1 martaba dhoya jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119/145 ). [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam alekum koi electronic cheez kese paak karte hai matlab mera mobile kuch time phele toilet me ghirchuka tha toh mene usko gile kapde se paak kiya hai kya wo paak hoga aise
Answer: Jee nahi, ghile kapre se pak nahin hoga balke pani se karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 mafhoom e maslah # 153,154) [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam kapray pak karne ka tariqa btaden detail me
Answer: Agar pishab k ilawa kisi our chez say najis ho to aik dafa dhona zarori hay albatta libas or is say milti julti chezon ko nichorna zarori hay takeh is ka dowan nikal jaey. or agar libas paisah se najis ho ajey tu qaleel pani se 2 dafa dhoona zarori hay or har baar nichorhna zarori hay. (Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edition 2019 masla #156) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar muyyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Jaya to kaproon ko phank dayna Chahiye
Answer: Kapray ko pak kar kay dobara pehna ja sakta hay...(Ref: Toziulmasahil Ayatullah e sistani db edition 2019 masla # 143) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar napak dry kapray Pak dry kapray Kay Saath Rakh Diya Jaya to Pak kapra bhi napak ho Jaya ga
Answer: Koe bhi paak cheeez najis is tarah hote hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(wet) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tar(wetness)i itni kam ho k doseri cheez ko nah lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Kya potty touch krne se napak hote Hain
Answer: Jism ka jo hissa pakhanay se laga ho faqat wo hissa najis hoga.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #81). [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]