Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 44
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshaab karnay kay baad agar Maqam-e-Peshab say agar koi ratoobat kharij ho to us kay baray main kiya hukum hay ?

Answer: Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18) Khuda Hafiz

Id: 148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ..mera sawal yeh hai key kia ager peshab kerny key bad hum istanja kery aur us ke bad peshab ke drops niklee tu kia woh pak hai ya najis ?kia aise halat main namaz sahi hai ?

Answer: Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis kay baray main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey ge,Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.70 Pg.25.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 739
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir mujhay aksar katry girnay k mehsoos hoota hai ..mi istabra bhe karta hon ...kya voo pakk hai ..namazz sahi hai kya meri

Answer: Istabra k baad agar qatray aain or ye yaqeen ho k ye katry paishaab k ya mani hain to voo najis hain.or agar shak ho k ye katray paishaab k hain ya nahi to paak hain, mazeed ye k mard k paishaab ki naali say paishaab k baad aik ratobat wazi bhi nikalti hay jo k paak hay,agar is main paishaab shamil nah ho to.(Ref:Seestani’s tauzee hul masail maslah #70).

Id: 818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istibra ka jo tareeqa tauzeeh me diya hua hai, kia zarori hai k wohi tareeqa istemaal kiya jaye? Ya phir kisi tareeqay sey khud ko yaqeen a jaye k peshaab nalli me baqi nahi rahi hai tou jafi hoga??

Answer: Istebra aik mustahab amal he jo mard hazraat peshab karnay k bad is liay anjam datay hein takeh itminan ho jay k ab peshab nali me baqi nahi raha he. Is k bohat se tareeqay hein.jis me se aik tauzeeh ul masa,il me likha he.layhaza agar aap ko kisi bhi tariqay se itminaan hojaay k ab paishab nali main baqi nahi raha hay chahay bohot ziada waqt guzarne k zarye hi itminaan ho jay tub hi kafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab main taharat ka sahi tariqa janna chahta ho

Answer: Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he.al’battah ehtiyaat e mustahab he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) 2)agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zurari he k pakhana ka koe zarrah bhi baqi na rahay al’battah agar rang ya boo baaqi reh jay to koe haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay hi dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona laazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaamm alaikum va rahmatullilah wabarkatuhu...mera sawaal yeh hai k jab surat(urine) karke aane k baad bhi ek khatra girjata hai to usse taharat toot jati hai ya nahi. allah hafiz

Answer: 1) Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis k baray main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey ge, Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.70 Pg.25). 2)istibra ka tareeqa : Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1401
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam o alaikum, sir mera sawal yeh hai k doran washroom meray kuch katray nikal jatay hai is soorat mai har namaz say pehlay nahana zarori hai ya mai aisay hi namaz parh sakta hu

Answer: Ans : vo ratubat (pani) jo baz auqat peshab ke bad niklti he aur jise wadi kaha jata he, agar peshab is se mila hua na ho to pak he. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 70)

Id: 1402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: istanja means peshab karne ke baad ka aamaal tozi mei jo likha hai buhaat garhi urdu mei hai please aasaan urdu mei ye aamaal bataeen male and female dono ke leye thanks

Answer: Ans :istanja alag amal ha shayad aap jo amal pounchna chah rehain hein woh istebra hain. Aur ye amal male kay lia ha. istebra islam ma mustahib amal ha. Istbra karnay kay bad ya itmanan ho jata ha ka kay pishab ki nali ma peshab baki nahin raha. Is ka tareeqa ya ha kay peshab say farig honay kay bad bayen(left) hath ki jo sab sa bari ungli ha us ko pakhana ke maqam ke end per rakh kar dabain aur uper testes tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi bayen(left) hath ke anguta (thumb) ko peshab ki nali ke upper rakhain aur anguta ke bad wali ungli ko peshab ki nali ke necha rakhein phir dono (ungli aur anguta) ko daba kar khatna ke maqam tak le ayen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) Aurat ke lia peshab ke bad istebra nahin he. (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 74)

Id: 1564
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istibra kese kiya jata hai?

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)

Id: 1866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i wana ask how to perform istibtra??

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab k qatre baqi nahi rahe. Iska tareeqa ye hay k peshaab se farigh hone k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerrh tak sontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neeche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jhatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!