Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11956
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya neend se utna k bad wazu kalia istanja zaroori hai ???

Answer: Intinja ( yani peshaab ya pakhane ke maqaam ko paak karna) or hay istebra or hay Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69) (Note: neend se uthne ke bad istinja zaroori nahin hai balke istinja sirf peshab karne ke bad kiya jata hai.) [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12080
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya neend sy bedar hony k bad wazu k liye istanja krna zrori ha

Answer: 1) Jee nahin, agar namaz ka waqt he to sirf wuzu karna hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #61/322) 2) Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69) (Note: neend se uthne ke bad istanja zaroori nahin hai balke istinja sirf peshab karne ke bad kiya jata hai.) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12490
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha mere apse 2 sawal hai pehla ye ke istabra karne ke kitni der bad tk pishab ke qatre nikalna jaiz hai dusra ye ke istabra ke bad bhi agr yehi shak hoke ye pishab hee hai tw is surat mein me namaz or wazoo karsakta hun??

Answer: agar aap ne istibra anjaam dai dia or us k baad rutoobat niklay jiske baarey mai shak ho k peshaab hai ya koi or tou wo rutoobat paak hai lehaaza usi haalat mai aap namaz parh saktay hai.(REf:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70). [Updated on 24-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat jama k bad peshab kry or ghusl b anjam de lekin osky bad b ratobat nikly to kia ghusal dobara krna hoga

Answer: Aurat k lie peshab k bad istibra nahi he pas agar koe ratubat kharij ho aur shak ho k ye peshab he ya nahi to wo ratubat paak ho gi aur is se wuzu aur ghusl bhi batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 74). [Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13529
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe urinary tract infection hua tha, aksar urine k baad 1 2 drops aty hn, aur mujhe ni pta wo kya hain toh mjhy ghussal ya kapry change krny chye aur namaz ho jye gi???

Answer: Jee nahin, gusal zaroori nahin hai. asal maslah ye hay keh istibra k baad agar koe mashkook rutubat aay tu wo paak shumaar hoi. Lekin agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghirte rehte hon to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hr bar peshab krne k baad thoda sa peshab apne aap aa jata hai ar pata bhi nhi chlta to isse napak ho jayenge ya nhi Phir mai namaz kaise padbo Kya hr bar peshab krne k bad nahana padhega mai kya karoon

Answer: 1. Istabrah aik mustahab amal hai jo mard peshab karne ke baad is gharz se anjam detay hain take itminan ho jaye keh ab peshab nali me baqi nahi raha, iske kaey tarkibein hain jin me se aik yeh hai keh peshab se farigh ho jane ke baad agar maqaad najis hogaya ho to pehle use paak kare aur phir teen dafa baein hath ki darmiyani ungli ke sath maqaad se le kar uzu e tanasul ki jar tk sonte aur uske baad angothay se uzu e tanasul ke upar aur angothay ke sath wali ungli ko uske niche rakhe aur teen dafa sipari tak sonte aur phir teen dafa sipari ko jhatke. Agar aap ne istibra anjaam diya ho or us k baad rutoobat niklay jiske baarey mai shak ho k peshaab hai ya koi or tou wo rutoobat paak hai lehaaza usi haalat mai aap namaz parh saktay hai. 2. Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora ratoobat hai to wo paak hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah # 69,70) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ghusl krne kai baad paani ajaye to is suratehal mein kia krien

Answer: Is surat mai ye dekhna paray ga k aap nai ghusl karnay sai pehlay peshab kia tha k ya nahin agar peshab na kia ho aur ghusl k bad peshab k makhraj sai jo ratubat kharij ho jis k baray mai maloom na ho sakay k peshab hai k koi aur ratubat to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur dubara ghusl karna hoga aur agar peshab kar liya tha to wo mani nahin ho gi aur ghusl dubara wajib nahin hoga.or agar peshaab ke baad istibtebra bhi kia ho tu ye mashkook ratubat pak bhi hoghe (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #347,sistani.org ,urdu,istibra,sawaal no:3). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14706
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir me jab bhi peshab karne ke bdd bahar nikalta hu to ek do peshab ki drop nikal jati h jabki me istibra bhi karta hu kya isse mujhe namaz padhne me koi dikkat hogi ya mere kapde napak ho jayega ya ye koi beemari h plz suggest me sir

Answer: istibraa karne k baad agar koi rutoobat kharij ho or us k baare mai shak ho k ye peshaab hai ya nahii tou wo rutoobat paak maani jaaye gi or libaas bhi paak rahay ga or us mai namaz adaa ki jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70). [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14793
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If it feels after istibra some thing has comes out from penis what we should do

Answer: Istibra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baaki nahi raha. or istibraa karne k baad koi rutoobat kharij ho jis k baaray mai shak ho k peshaab hai ya nahin to phir wo rutoobat paak maani jaaye gi.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #69,70) [Updated on 07-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15001
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Yeh kaisai confirm kiya jaye kai mani puri tarah se nikal chuki hai ghusal lenai se pehlai ?

Answer: Mani nikalne ke baad mard ke liye peshaab karna mustahab hai aur ye amal Istibraa kehlata hai aur ye Istibra isi liye kiya jata hai taakeh ye yaqeen ho jaye ke ab naali me mani baqi nahin rahi, lekin agar koi mani nikalne ke baad peshaab naa kare aur ghusl ke baad us ke makhraj e peshaab se ratoobat khaarij ho jis ke baare men wo na jaanta ho ke mani hai ya koi aur ratoobat to woh ratoobat mani ka hukum rakhti hai aur wo shakhs mujnib hoga.( yani us ko aise surat me ghusal janabat karna hoga ) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #347. + Tauzeeh ul Masail Jame, maslah #419). [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!