Question: Mera question ye he ki jab me peshab kar ke ya nah ke (after bathing) namaz me jata hu to sajde me ya phir jab aise hi bethta hu to peshab ke bund nikal jate he apse request he plz jald se jald koi solution dijiyega
Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: pishab karne ke bad kuch katre nikalte hein who pak he ya napak
Answer: Jo ratubat peshab k bad aur istabra se phele insan se kharij hoti hai wo bhi peshab ka hokum rakhte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamalaikum mera sawal ye h ki peshab se fariq hone k bad kukch ktra peshab nikal jata..... kya is halat me mai waju krk namaz pad skta hu..
Answer: jo mashkook ratubat peshab k baad nikalti agar istebra na kia ho to wo peshab ka hakum rakte hai aur namaz parhnay k lie pehlay osay pak karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamwalekum mera sawal hai ke jab mein peshab ko bet ta hon to meshab ke katre gerte hein kya ayise me namaz padh sakte hein
Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra nahi kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslkm, Hazrat jab mai istinje k lie jata hu to kuch gadha-gadhda sa nikalne lagta hai to kya us se admi naapaak ho jata hai.
Answer: Wssalam o alykum, ager mani o peshaab nahi hai to paak hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , 80 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).
Question: Sir Mai Ye Poochna Chahta Ho Peshab Krne Ke Bad Maine Wazoo Kiya Us Ke Bad Ek Do Qatre Shalwar Me gir Jatey Hai Kya Is Se Wazoo Tooth Jata Hai Ya Nai . Please Answer It Immediatly
Answer: 1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain. 2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. 3) jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) 4)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa
Question: mera sawal yaeh hah kae jab mae peshaab kar kae aata hoon tou peeshab karne kae 5 min baad mjhe maahsoos hota hah meri sharamgah sae kch nikal rha hou dkhta hoon tou kch nhe hota magar kabhi kabar transparent drops nikaltay hah tel me plzzzz?
Answer: Istibra aik mustahab amal hay jo mard hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain ta,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baqi nahi raha. Is ka tareqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkain. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#62,70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.o.s sir mera sawal ye hy ki my peshab k baad sharmaga ko kaisa clean karna chahiye sir sharmaga oura clean karna chahiya aur sirf peshab ki naliko clean karna chahiye sir please sir iska jawab dev sir plsee
Answer: 1)Pheshaab ka makraj (jagha ) paani se he paak hosakta hai.aur ise aik he martaba dhona zarori hai albatta ehteyate mustahab hai k 2 dafa dhoa aur behter ye hai k 3 martaba dhoa (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mjy pishab krny ky bad kbi kbi eik week ky bd manne ky drops atty hain our is ka koi elaj batayan our ya koi medicine batayn our mjy pishb ky bd khara hota hon to lagta h ky pishb ky drops aty hain
Answer: Apko chaye ke istibraa karay. Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamo alykum hm ko ye jaanna hai ki mere pisab krne k thora der baad pisab k raste se kch pani aesa nikal ta hai toh kya us haalat me hm paak hue ya naapak or kya hm namaz padh skte hai
Answer: Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 12-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).