Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15002
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is baat pe kaisai itmenaan kiya jaye kai mani puri tarah se pishaab ki nali se nikal chuki hai aur kch baki nahi raha

Answer: Mani nikalne ke baad mard ke liye peshaab karna mustahab hai aur ye amal Istibraa kehlata hai aur ye Istibra isi liye kiya jata hai taakeh ye yaqeen ho jaye ke ab (peshaab ki ) naali me mani baqi nahin rahi, lekin agar koi mani nikalne ke baad peshaab naa kare aur ghusl ke baad us ke makhraj e peshaab se ratoobat khaarij ho jis ke baare men wo na jaanta ho ke mani hai ya koi aur ratoobat to woh ratoobat mani ka hukum rakhti hai aur wo shakhs mujnib hoga( yani us ko aise surat me ghusal janabat karna hoga ). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #347. + Tauzeeh ul Masail Jame, maslah #419). [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya wuzu sy pehly istanja krna wajib hai

Answer: agar kisi ne peshaab ya pakhane k maqaam ko paak na kia ho tou ehtiyaat e mustahab(yani behter) hai k pehle inhein paak karay or phir wuzu karay yanay agar koi paak kiyeh baghair wuzu kar leta hai tou wuzu tou durust ho jaaye ga lekin namaz sai pehle in maqaamaat ka paak karna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 276). [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ISTEBRA KARNE KE BAAD BHI MUJHE tari aati hai peshab ki

Answer: Istibra aik mustahab amal hai jo mard pishaab karnay kay baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahin raha hai aur wo ratoobat jo baaz awqat peshaab kay baad nikalti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshaab mila hua na ho to paak hai, aur jab kise shaks ne peshaab kay baad istibra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k wo peshaab hai ya koi aur rutoobat to wo paak hai or is sai wuzu bhi baatil nahi hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #69,70). [Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bait kar peshab karne ke baad khade ho kar paani se istenja kar sakte he kyu ki meri phant tight hoti he bait kar paani se dho nahi sakta

Answer: kharay ho kar istinja karne mai koi harj nahi hai lekin jis paani sai paak kia jaaye or us mai peshaab k qatry hon tou yeh paani jahan giray ga wo maqam ya libaas najis hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 115). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15309
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is Slight dampness after urination nijaset ?

Answer: 1: Paishab ke bad Istibra kiya jaye or ye aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahin raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ke sath uze tanasul ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur anguthay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 2: Agar aap ne sahi se istibra kar lia aur us k baad bhi koi rutoobat kharij ho jis k baare mai aap ko shak ho k ye peshab hai ya nahi tou wo rutoobat paak maani jaaye gi or libaas bhi paak raha gay. or agar aap ko yaqeen ho keh ye paishab hi hay tu phir ye qatre najis hoon gay or libas ko bhi najis kar dain gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #69,70). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15475
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kabi kabi peesha krne k bad asa mhesus hota hai k kuh or araha hai or zor lagane pe kuh mani jese bahr ata hai kya ye mani hai?? Is k bad gusal wajib hai? . . .

Answer: Peshaab ke baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat ke saath pishab mila hua na ho to ye paak hai or is rutoobat ke khaarij hone sai ghusal wajib nahin hota. Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # ) Istebra aik mustahab ( accha ) amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ke khe tareeqa hain ,jin me se aik ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #70 and 345,322 ) [Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum Sir Sir peshab ky bad istanja kartay huy kuch chitty lag jaty hen aor me koshis b karta hun k na lagy par ahtiyat karne k bawajood kuch kuch chity lag jaty ha

Answer: Istinja karte waqt jo cheenten libaas ya badan par lagi hon agar yaqeen ho ke wo cheenten najis hain to libaas ya badan ka wo hissa jahan wo cheenten lagi hon, najis ho jaye ga, aur use paak karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,156). [Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام وعلیکم سر مجھے بڑے پیشاب کے وقت ہلکا سا زور لگنے سے منی کے قطرے آتے ہیں برائےکرم اس کے بارے میں رہنمائی عطافرمادیں

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain: 1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,345). [Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar chota peshab kiya hy to us k bad proper astanja lazmi hy. Ya choty peshab wali jagah ko dhona kafi hy? Aur us k bad ap wazu kar k namaz parh sakty hein?

Answer: 1: Chotay peshab(urine) ke baad Istibra karna lazmi nahin hai balke aik mustahab amal hai jo ke mard hazraat is gharz se anjaam dete hain taake itminaan ho jaye ke ab peshaab, naali mein baaqi nahin raha. aur is ke baad us maqam ko bhi pak karna hoga, is ke baad me wazu kar ke namaz parh sakte hain. «Peshaab ke baad istibra karne ka faaida» yeh hai ke agar is ne istibra kiya ho aur baad mein is se koi rutoobat kharij ho aur shak kare ke wo peshaab hai ya nichay zikr ki gayei 3 rutoobaton mein koi aik hai to woh mashkook rutoobat paak hai, aur wuzu or ghusl ko bhi baatil nahin kare gi lekin agar istibra nah kiya ho to dobara wuzu kare aur us jagah ko bhi dhoye. 2: Peshaab aur mani ke alawa jo rutoobatien peshaab ke maqam se nikalti hain is ki 3 qism hain: 1. woh rutoobat jo kabhi shehwat ki wajah se mard se kharij hoti hai usay Mazi kehte hain. 2. woh rutoobat jo kabhi mani ke baad kharij hoti hai usay Wazi kehte hain. 3. woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. yeh tamam rutoobatien is surat mein paak hain (aur pant ko lag jayen to pant napak nahin hogi) jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab aur mani se aaluda nah hon. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #87,88. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #156). [Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17007
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mada ghusal k bd nikly toh ?

Answer: Aurat ke liye peshab ya mani ke bad istibra nahin hai aur agar koi rutoobat niklay aur shak ho ke ye peshab hai ya nahin, ya shak ho ke mani hai ya nahin to wo rutoobat paak hogi aur is se wuzu aur ghusl bhi batil nahin ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), part #1, maslah #92,434). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!