Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8849
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alykum hm ko ye jaanna hai ki mere pisab krne k thora der baad pisab k raste se kch pani aesa nikal ta hai toh kya us haalat me hm paak hue ya naapak or kya hm namaz padh skte hai

Answer: Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 12-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Les daar qatre jo ghalat khayalat ki waja se nikal aaen magar wo mani na ho to kya wo na pak hain ??? Namaz parh sakta hu.

Answer: In qatroon ko mazi kehte hain, ye paak hain or in k nikalne se wuzu bhi nahi toota. Or in k sath namaz perhna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71). Update on dated 15-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamulaikum Sir , Peshab karne ke baad hatho ko kis tarah Paak karain ? kuch parhna hote ya sirf dho lena hi kafi hai ?

Answer: Sirif aik mertaba dhona kafi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 16-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9667
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.jab bhi main urinate karta hoon dhoo kar bahar nikal ataa hoon toh urine ke qatrey nikal aatey hai toh aisi halat mein paak kaise rahe salah key liye

Answer: 1) Jis shkas ne istibra nah kia ho tu is doran jo mashkook rutubat kharij ho wo najis shumaar hogi, laikin Jis kisi shakhs nai peshab k baad istibra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo paak hai. 2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k paishaab ki naali may paishaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar namaz k doran jo ratubat kharij hui hai wo paishab ho to namaz batil ho jae gi. aur pak ho kar dubara namaz parhni paray gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70,113). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Me Jab Peshab Karta Hun Toh Peshab Ke bad peshab ke Katre Atte Hain Is Ka Koi Ilaj Btaiye Please

Answer: 1)Istibra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 2)Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Choty peshab k bad astanja krna zrori h ya nh

Answer: Namaz se pehlay badan or libas ka paak hona zarori hay, or peshab k baad istinja nah kerne ki wajah se badan or libas najis hojata hay, is liay peshaab k baad istinja karna zarori hoga takeh badan or libas najis nah hoon, laikin agar koe shaks istinja nah kare tu wo gunahgaar nahi laikin namaz se pehlay badan ya libas ka wo hissa jo najis hoa ho os ko paak kerna lazim hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#62). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10048
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab ke baad istinja ka Sahih tareeqa kya hai? Kya Uzw-e-tanasul(Penis) ko pani girate waqt left hand se touch karke ragar kar dhona zaroori hai? Ya sirf pani baha dena kafi hoga?

Answer: Peshab kay bad mard ky liay Istibraa ek mustahab ‘amal hai jo peshaab karne k ba’d is gharz se anjaam dete hain takeh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke ba’d agar Maq’ad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen daf’ah ba,en haath ki darmiyani anguli k sath Maq’ad se le kar ‘uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is k ba’d angoothe ko ‘uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is k niche rakhe aur teen daf’ah sopari tak soonte aur phir teen daf’ah sopari ko jhatke, or paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahi hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey aur agar pakhanay ki jaga anus ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah spot baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai (ref ayatullah sistani d b tauzeehul masail 31th edition maslah 62 63) [Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10049
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab karne ke baad Istinja ka Sahi tariqa kya hai? Kya pani girate waqt Uzw-e-Tanasul(Penis) ke sire ko left hand ki fingers ke sath achi tarah se mal kar dhona zaroori hai? Ya sirf pani gira dena kafi hoga?

Answer: Peshab kay bad mard k liay Istibraa ek mustahab ‘amal hai jo peshaab karne k ba’d is gharz se anjaam dete hain takeh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baqi nahi raha. Is ki kaee tarkibain hain jin mein se ek yeh hay keh peshaab se farigh ho jane k ba’d agar Maq’ad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen daf’ah ba,en haath ki darmiyani anguli k sath Maq’ad se le kar ‘uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is k ba’d angoothe ko ‘uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is k niche rakhe aur teen daf’ah sopari tak soonte aur phir teen daf’ah sopari ko jhatke, or paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahi hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey aur agar pakhanay ki jaga anus ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah spot baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai (ref ayatullah sistani d b tauzeehul masail 39th edition maslah 69/62/ 63) [Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10085
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi banda peshab (urine) kare to saf karne yani apni sharamgah dholay or uthte bethte us k 2 3 peshab k qataray(drops) gir k jism pe lag jain. or har dafa aisa hi ho yani jab b peshan aye or har dafa yehi halat ho to kia karna chahye?

Answer: wo qatray najis shumaar honge lehaaza jahan jahan qatre lagay hai wo jagah paak karni hogi is ka tu bus yahi ilaaj hai k jab bhi peshaab karay tu us k baad istibraa kar lay, (istibraa aik mustahab amal hai jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein).or agar istibraa karnay k baad koi rutoobat kharij hoti hai jis k baaray mai shak karay k peshaab hai ya nahi tu wo rutoobat paak hogi or us sai wuzu bhi baatil nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#69 and 70). [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11201
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai ke peshab karne ke baad qatre atay hain lakin wo leak ni hotay penis ke uper hi rehtay hain us ka ilaj patain please

Answer: 1. Istabrah aik mustahab amal hai jo mard peshab karne ke baad is gharz se anjam detay hain take itminan ho jaye keh ab peshab nali me baqi nahi raha, iski kaey tarkibein hain jin me se aik yeh hai keh peshab se farigh ho jane ke baad agar maqaad najis hogaya ho to pehle use paak kare aur phir teen dafa baein hath ki darmiyani ungli ke sath maqaad se le kar uzu e tanasul ki jar tk sonte aur uske baad angothay se uzu e tanasul ke upar aur angothay ke sath wali ungli ko uske niche rakhe aur teen dafa sipari tak sonte aur phir teen dafa sipari ko jhatke. 2.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 42, Mafhoom e Maslah # 69,70) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!