Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam-o-alikom mere peshaap keerne ke bad kuch katry kapron main gir jatay hain kiya main namaz parh sakta houn bohat kosish karta houn achi tara saff kar loun magaar aisa nahi kar sakta ka pake rah sakou hata ke nahane ke bad be aisa he hota hay

Answer: 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. 2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)agar wo ratubat k peshab honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-70 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaikum agar istibra k bawujood baad me qatray aa jaatay hon to aisa banda Quran Majeed ko kaise hath lagaai?? Plz help me?? Allah Jaza de.

Answer: Jab kisi sakhs ne peshab karnay k baad istebra kia hua ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he k ya koi aur ratoobat to wo pak he aur quran majeed ko hath lagha sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam oalikum sir mujhe kuch din se namaz kay doran halka sa katra pishab araha hai please kuch bata dije shukriya

Answer: istibra islam ma mustahab amal hay. Istibra karnay k baad ya itminaan ho jata ha k pishaab ki nali ma peshaab baaki nehi reha. Is ka tarika yae hay k peshaab say farigh honay k baad baa’en(left) haath ki jo sab sa bari ungli hay us ko pakhana ka maqam ka aakhir per rakh kar dabaein aur oper peshaab ki nali tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi baaen(left) haath ka angutha(thumb) ko peshaab ki nali ka opper rakhain aur angutha ka baad wali ungli ko peshaab ki nali ka neecha rakhein phir dono ungli aur angutha ko daba kar khatna k maqam tak lain phir 3 dafa jatakein. (Ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani pg # 25)

Id: 3514
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istbra kia hai?

Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hey k mje paishab kerney k baad b katrey aty hain to kia agr wo katrey kapron per lag jaye to kaprey napak ho jayaingy kia?

Answer: 1)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij ho agar shak ho k ye ratoobat peshab hai ya koi aur to wo pak ho gi aur kapray bhi pak rahaiun gai. 2)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij agar is k baray mai yaqeen hai k ye peshab hai to wo najis ho gi aur kapray bhi najis ho jae gai. 3)Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 70-74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4034
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe peshab karne ke kuch der baad katra aata he kya istanja karna zaroori he ya me ase hi namaz par sakta ho

Answer: 1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain. 2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. 3)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum main apsay ye pouchna chahta ho kay kabhi kabar mujhay peshab krnay k baad aisa feel hota hay kay kuch katray reh gaye hay then mujhay dobara bathroom jana parhta hay sooo ye kya masla hay plz mujhay bataye n ixka solution bhi bata day

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4695
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar pishap karne k baad mani kharij hoti ho to ye kis waja se hota hai or is problem ko kese thek kia ja sakta hain?

Answer: Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4710
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujy peshab key sath manii aney lag gae hai or kbi kbi mujy peshab ki jaga jalan bhi hoti hai please mujy is hal jald sey jald batye

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-70)Note : peshab k baad jo ratubat aati hai wo mani nahi hoti hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4713
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mujhay aksar peshab k bad qatre atay hyn jis ki waja se me namaz ba qaidgi se nhi parh skta is ka koi hal btaye or kiya is sy kapray napak ho jaty hyn ye be btaye or is bemari se kesy chutkara paya jaye

Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!