Question: salam.hamare do ulama me ye discuss horaha he k sistani sahab ne chemical wali mehndi lagane ki ijazat di he is shart par k wazo k bad tayammum karen?kia ye sahi he,wazahat kar deje
Answer: Agar wuzu kernay walay ko skak ho k wuzu ki jagah per jo cheez lagi hoe hay wo rukawat hay ya nahi tu os ko hata ker paani khaal tak pohan chaana wajib hay.or agar yaqeen ho k ye rukawat nahi hay tu is ko hatana wajib nahi.or agar rukawat aysi ho k jis ko hatana munkin nahi ho tu, agar ye rukawat wuzu k hisso per hay tu wo tayyammum karay,or agar ye rukawat tayammum k hisso per hay(yani hathayli or maatha) tu wuzu or tayyammum dono karay.(ref:Ayat ullah Seestani(d.b) Tazeehul masail,Maslah #289,337).
Question: assalmun allehkum janab mera sawal ye hai k kya NAIL POLISH lagane ke baad WAZOO kae sakte hai KUCH LOGO KA KAHNA HAI KE NAKOON KO THODA SA KHALI CHOR DIYA JAI TO WAZOO HO JATA HAI WAZAHAT KRDE
Answer: Agar nail polish haath ki ungliyoon per lagi ho tu wuzu nahi ho sakta,kun k nailpolish rukawat hay.or wuzu ki shraa’it main say aik ye hay k wuzu k aa’zaa(parts) per koe aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak pohanchnay nah day.laikin agar nail polish pair(foot) ki ungliyoon per lagi ho or dono pairon ki aik aik ungli per nah lagi ho,tu pairon ka masah os aik ungli say(jis per nail polish nahi hay) lay ker pair k jorh(joint) tak masah kiya jasakta hay.Kun k pair k masah main pair ki aik ungli say lay ker jorh tak masah kerna wajib hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#251,289 to 297).
Question: salam i wanna ask that wazoo is neccessary after a gusal or not ok khuda hafiz
Answer: Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#389) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalikum...sir ... usually jo ladies mehndi kushi k moqay par hands pe lagati hain tu us k laganay k badd aksar uss k color dark atta hai ...tu kya uss sai wazu ...or gusal mai koi khalal tu nahi parta....tahnks ..regards
Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to wuzu sahi mana jay ga.jaisa k baghair chemical wali mehdi hoti hay jo faqat haath per apna asar chorh jati hay. .Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.
Question: kya insan ki sharm gah us k jism ka napak hisa hai wazoo farz hai ya ahtraman kiya jata hai?
Answer: 1) 10 cheezain najis hein. 1:peshab 2:pakhana 3:mani 4:murder 5:khoon(blood) 6:kutta (dog) 7:suwar(pig) 8:kafir 9:sharab 10:najasat khor hevaan ka pasenna. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 80). 2) 6 cheezoo ke lie wazoo karma wajib he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 315).
Question: wuzu k baad agar bacchay ki poti wash karain to kia wuzu batil ho jata hai?
Answer: Jee nahi.is kaam say wuzu batil nahi hota.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#322)
Question: mera sawal ye hai k wazu ker lainay k baad kitni dair tak qaim rehta hai...agr insaan k sath ksi b kism ka masla na ho tu kab tk wazu rehta hai..
Answer: Ans : 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322) (Is ma mumkin ha k ya 7 chezain aik din tak na ho to wazu baki reha ga . or ya bhi mumkin ha k wazu karnay ka aik minute bad in 7 chezain me se koi sadir ho jay to wazu batil ha jay ga)
Question: ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay. PLEASE CLARIFY
Answer: Jis shakhs ne gusl e jannabat kia ho zurari he ke namaz ke lia gusl na karey. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 389 )
Question: Q : Wudhu baja laty wakt chahra (face) ya hathon (hands) dothy waqt ayah ki telawat karna zarori hai k nahai?
Answer: Jo shakhs wuzu karney lagay us k lie mustahab he k duaein parhay.aur dua perhna wajib nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 263)
Question: iger gas nicalanay say wazoo tote jay to kia phlay istanja kirna ho ga
Answer: jee nahi gas kharij honay k baad istinja kerna zarori nahi hay.istinja faqat peshab aur pakhana k baad kia jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63).