Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1835
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sex kay bad wazoo ka tareka.

Answer: Wazoo ka aik hi tareeqa hai chahe sex ke baad ho ya sex se pehle. Albatta 2 chizon se insan mujnib ho jata hai ek jimma krne se or dusra mani k kharij hone se, chahe wo mani neend ki halat men nikle ya jagte men , kam ho ya ziyada, shehwat k sath nikle ya bgher , or us mani ka niklna ikhtiyar men ho ya na ho, jinabat ki hlat men har wo ibadat k jis k liye wazu krna wajib hota hai, us ibadat k liye ghusl krna wajib hota hao, or wazu ki trh ghusl ka bhi ek hi tareeka hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 324,356) (ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae).

Id: 2055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu ke liye kitney baar pani ka istemal kiya janta chahiye? aik baar ya do baar ya teen baar?

Answer: Wuzu mein chehray aur haathoon ka aik baar dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is se ziada martaba dhona haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 247) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamualykum, i hope i will get good guidance from here as im in search of. my question is : wazoo ka jo tarika bayan kia gaya hay aus ka reference chayeh k kaha say wo tarika lia gaya hai. koi hadees or any references ??

Answer: Wozo ka tareeqa tauzeehul masail main darj hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2227
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jab hum majlis ya milad mai jatey hai, to tab niyaz dene se pehlay wazu krna zaroori hota hai?

Answer: Jee nahi wazu karna is surat me zaroori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ajkal aik naqsh bht mashoor hai jis main PANJTAN PAK k namo ko mila kr ALLAH likha jata hai (urdu main) kia ye sahi hai? kia ye naqsh istimal kia ja skta hai?

Answer: Agr us naqsh se ALLAH j.j ka naam ban raha hai or aysa lagta hai k ALLAH j.j ka naam hai to is hawale se sharee`at to hmen ye kehti hai k jo shakhs ba_wazu na ho us k liye Allah Tala k namon or un sifaton ko mass(chhona) krna jo sirf usi k liye khas hen chahe wo kisi bhi zaban men hon Ehtiyat-e-wajib ki bina pr haram hai, or behtr ye hai k Rasool Akram (s.a.w.w) or Aima tahireen a.s k asmaye mubaraka ko bhi na choye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #318)

Id: 2591
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bar Bar Hawa khariz hoti hai is vazahse namaz quran aur zikr karne me rukawat aati hai aisi surat me namaz kaise ada ki jaye

Answer: agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308-314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2594
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wazo main kia krna farz hai?

Answer: Wuzu mai 5 cheezain wajib hain. 1) Niyat 2) chehray ka dhona 3) Dono hatho ka dhona 4) Sar ka masah 5) Dono pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2947
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya quran pak bagher wazu k parh skty hain??

Answer: 1)Jee haan quran paak baghair wuzu k quran paak perh saktay hain.Baz faqha kahtay hein k quran parhnay k lie wuzu karna mustahab he. Lakin ye wuzu mustahab hona sabit nahi he. Albetta agar koi shakhs mustahib honay k ethimal honay k sath wazu karay to os ka wazu sahi he. Aur is wazu k sath har wok am kar sakhta he job a wazu ho kar karna zurari he maslan is wazu k sath namaz parh sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321) 2)Jo shaks ba-wuzu na ho os k liay quran majeed k alfaaz ko chona haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 316). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k meray shohar ko peeshab k qatre ka masla hai wo namaz parhne k lye istanja kerain or wazu kerne lagte hain tu qatre nikal jatay hain kia bgair nahae(bath) sirf kapre badal k wo namaz park sakte hain k ni?

Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3093
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz k lie wazu krny k baad us ka pani kisi cheez se ya hawa se khushk krna keisa he, kya mein pani khushk kr sakty he, or is k lie koi SUNNAT-RASOOL (SAW) b batainy, shukira

Answer: Wuzu k baad Kaprhay(cloth) waghaira se wuzu ka paani khusk kerna makhrooh hay.(Ref:A.Sistani(d.b),urwatul wusqa part#, Before maslah# 491).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!