Question: Every 3 to 4 times a day a sticky substance comes out of penis I think it is mani. it comes out even i am no thinking of sex. I offer 5 times prayer. I m very worried will i get gunah.
Answer: bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
Question: Assalamoalaikum.sir mere satt aksrr assa mehsaoos hoota hai ..kai mere pisab ki jaga sai kuch drops kharij hoo gai hai...so plzz iss mai gusall karna hota hai ..ya voo pkk hai ......ALLAH HAFFIZ
Answer: w.s., Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
Question: sir mera sawal ye hai apse ke agar kapro per mani lag jaye tu usko pak karne ka kiya tareeqa hai plz answer me fast thanks
Answer: Agar mani lag jaye tu usko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).
Question: kya aurat ki vagina ki sucking halah ha ya haram ha, or ky mard k penis ki sucking halah ha ya haram.
Answer: bismehi taala, (mian-biwi k darmiyan) Aisa karna Jaiz hay, magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.
Question: rat ko sote waqt koi sexy khawab dekh raha ho or mehsos ho k ahtlam ho raha ha or usi waqt ankh khol jae. apni sharamga ko dekhe to us me se koi ratubat (mani,mazi,gadi)na nikle to kia ghusal wajib ho jata ha
Answer: agar kisi shaks ko shak ho k os k jism say mani nikli hay ya nahi tu os per ghusl e janabat wajib nahi hay.mazeed ye k mazi,wazi,wadik nikalnay per ghusl wajib nahi hota.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#351 & 70).
Question: assalamualikum sir my question is k kiya hlate jnabat main quran majeed sunnay main koi gnah ha plz axplane me thanks ALLAH HAFIZ
Answer: Halat e janabat main quran majeed sunnay main koe gunah nahi hay.balkeh halat e janabat main quran majeed ka perhna bhi jaiz hay.laikin 7 say ziyadah ayaat ka perhna makhroh hay(yaani 7 ayaat k baad say sawaab khuch kam milay ga),or wo 4 ayaat perhna jin k perhnay per sijadah wajib hojata hay perhana haram haain.or janabat main quran majeed ki tehreer(writing) ko choona bhi haram hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#354,355).
Question: as salam u alaikum.agar ghusal janabat kiay baghair bivi nashta bana dey or dono usi haalat mein khaa lien to woh halal hay k haraam?is k baray mein kia hukam hay?
Answer: Halat e janabat main khaana peena makhrooh hay, laikin agar haath(palm),monh(face) or kolli ker lay tu ye kaam makhroh bhi nahi hay, or agar sirif haath hi dhoolay tab bhi karahiyat(makhrooh) kam hojati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).
Question: Gusl-e-janabat is wajib or not.
Answer: Ghusl e jannabat wajib namaz parhnay k lie aur is jaisi doosri ibadaat k lie wajib ho jata he. Lakin namaz e mayyat , sijdah e sawh , sajdah e sawh aur quran majeed k wajib sajdooh k lie ghusl e jannabat zurari nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar begair kuch kiye koi sex story sun k ya soch k ya tv p sexy sen dekh kar jo pani nikalta ha wo pak ha k nai ya usk bad gusal wajib ha.
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)
Question: difference between mazi and mani?
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)