Question: mera sawal ye hai ke hum bistar hone ke baad janabat ki ghusul mard ku jahiz hai
Answer: Agar koe shakhs jima karay aur azu e tannasol supari ki miqdaar tak ya us se ziada aurat ki faraj(sharamgaah) me daakhil ho jaay to chahay ye dhakhool faraj me ho ya dubur(pakhanay ka maqaam) me ho aur chahay baligh ho ya na-baligh aur chahay mani kharij ho ya na ho dono per ghusl wajib ho jay ga.( (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 348)
Question: salam,kya janabat ki halat ma QURAN parh sakta hain?aur kia tahreer ko touch kar ka bhi parh sakta hain ya nhi...pl tell me soon as possible
Answer: Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)
Question: salam hazrat ap muje batae jnabat hoti kiya hai plz??
Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
Question: When exactly Ghusl-e-Janabat becomes wajib for a woman? what is the tariqah?
Answer: b.t. 1)Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. 2)Agar koi shakhs jima karey aur azu e tannasil supari ki miqdar tak ya us se ziada ayrat ki faraj me dhakil ho jay to khown ye dhakool faraj me ho ya dubr me ho aur kaown balig ho ya na balig aur khown mani kharig ho ya na ho donoo per ghusl wajib ho ga. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 , 348 , 367 , 372)
Question: aslam o alikum sir mera sawal yeh hy k..koi sexy sen yah larki sy phn par baat karny sy agr mazi kharij ho jay toh ghusal zarori hy? aur kya hum unhin kapron main nimaaz parh skty hain? plz plz reply
Answer: ye ratoobat paak he Aur kaprha bhi paak he is ratubat k saath hi namaz perhna sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70).
Question: Sir.. peshab k qatrey jism par lagne Gusul karna lazmi hai ya nai agar hai to konsa gusul kiya jata hai? or mani nikalne k bad konsa?
Answer: 1)Agar peshab k qatray jism per lag jain tu wo hissa najis ho jaay ga aur us ko paak karna ho ga na k poray badan ko dhona hoga. Paak karney ka tareeqa ye he k nijasat hata nay k baad 2 dafa paani baha’ein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 154) 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is se ghusl e janabat wajib ho jey ga.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
Question: agr be akhtiar uzue khas se pani nikle mean some drops when we think of any sexual incident. then is ghusl wajib aur it is ok to just wash the penis and cloth where drops were fell
Answer: 1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).
Question: assalam valekum,ghusl-e-jinbat kab kiya jata hain aur uski dua kya hai? Aadmiyon ke liya kitane ghusl hain aur unki dua kya hain?
Answer: Ans : 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 4)Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).
Question: AGAR BIVI K SAATH HAMBISTRI NA KI JAYE SIRF BOSA KIA JAYE OR IS DURAN MANI KHARIJ HO JAYE JABKAY SHARAMGAHAIN TOUCH NA HOON TO KIA IS SURAT MAIN GHUSAL KARNA CHAHYE?
Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Aur is se ghusl e janabat wajib hota he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
Question: is there any dua for ghusal after haiz according to hadis
Answer: Dua is not compulsory in ghusl. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 379) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).