Question: kya wife k saat humbisteri k bad bager gusal k quarani ayyat par kar so sakte hai?
Answer: Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)
Question: kya wife k saat humbisteri k bad bager gusal k quarani ayyat par kar so sakte hai?
Answer: janabat ki halat me quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai.in k ilawa baaqi quraan perhna jaaiz hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: .Assalamoalikum...nend ki halat mai shewat hoo ..or uss k badd pani k kuch drops nikal ayyin ...jo k mazi ki tahan k hootay hai...tu kiya wo ehtailam he khalyee ga ...kya uss halat mai ghusal wajib hoo jata hai... REPLY ASAP Shukriya Allah Haffiz
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.kya khwateen ki money bhi kharij hoti ha?aur kya bgher sex kiye bhi kharij ho skti ha?aur agr aesi surat ho to kya ghusal wajib hota ha ya nahi?aur raham se nikalne wali deegar ratoobat k bary ma kya ahkam han?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar kisi bimari ki wajah se rozana raat ko ek ya do qatre kharij hote hon,tou insan napak hojata hai ya pak hi rehta hai?
Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asslam o alaikum sir mera sawal ya hai ky larki jab apny sath khud kuch karti hai or mani waste hoyi hai to kia us par gusal farz hai.larka hn par mujy is bat main confuion hai sir plz is ky bary main mere elam main azafa karian.
Answer: 1)Aurat k lie apni sharam gaah ko itna cherna jaiz nahi he keh is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur us ka behna wala mawaad kharij ho jaay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266).
Question: mai pochna chahta ho k agr bina sehwat k jism se pani aa jay lekin itna khas pat nai chalta/ to is sorat me gusal karna faraz hai? or mery zehan me beth chuka hai k mera gusal thak nai hota agr ho saky to thek tareka bata dain shukkrya
Answer: 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) 3)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383)
Question: salam agar najasat ka alam hai aur namaz ka waqt nazdeek hai , aur itna nazdeek hai k ghusl nahi kiya ja sakta to kya us halat mein namaz kaza karein ya padhein
Answer: Jab waqt tang ho k agar aik shakhs ghusl karay to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad parha ja sakhe to zarori he k ghusl k badlay tayammum karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 668). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamo Alaikum Mera masla yeh hai kay agar 1 ya 2 dafa taharat na ki jay to nahay begair namaz ho jay gi ya ghusal wajib ho ga. thanks
Answer: 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kiya aik maan halat-e-janabat main apney bachey ko Doodh pila Sakti hey? is breast feeding allowed in Janabat?
Answer: Jee haan, Halat e janabat janabat main maan doodh pila sakhti hay Q keh Halat e janabat main mujnib per 5 chezain haram hain or 9 chezain makrooh hain.in main doodh pilana shamil nahi hay