Question: salam, jab my soti hu to muje nid me aksar orgasm hojata hai, kya is k liye gusul zarury hai ya nahi?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir mera sawal yeh hai k bivi sai mubashrat k baad insaan agar ghusal subah kerray to kia ghusal kernay say pahlay woh aisi halat main hota hai kai koi zikr ya tasbeeh ker sakay.
Answer: Koe bhi zikr ya tasbeeh parh sakhtay hein magar Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.jab k jin ayat k perhnay se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koe hissa(part) Quran majeed k alfaaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)
Question: as salamo alaikum , pls. provide gusul ki dua for janabbate
Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia halat e janabat main darood pak parh sakte hain
Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam sir mera sawal ye hai k biwi k sath hambistri k bad Ghusal kiye baghair nashta ya khana kha sakte hn ya nahi
Answer: Wsalam o alykum, hambistari ke bad khana pina haram nahi balke makrooh hai, han agr hath mon dho len or kulli karle to makroh bhi nahi ha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_masail, maslah #355) (Khuda tawfiqaat men izafa farmaye). Note, agr hambistari namaaz e fajar or is hi terha or naamaazoo se pehle ki hai to zaroori hai ke namaaz ke liye gusal karen.
Question: Salam, When a person gets mujnib, can he/she wear the same shirt again after gusl?
Answer: Yes, you can wear these clothes if najasat has not transfered on the cloths. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal hai kay agar larki apni ungli farg main dalti hai tu kaya us pay ghusl faraz ho ga? kaya ye haram kam hai? us ka maza bhi lay?
Answer: 1 : Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). 2: Aurat k liay apni sharamgaah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur us ka behnay wala mawaad kharij ho jaay to os per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia ahtilaam sab larkon ko hota hai? kia
Answer: Please refer to the doctors in that. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 5, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: After hambistari of husband & wife in night it is gunah to enter kitchen, touch kitchen utensils, drinking water & broom before taking ghusl.
Answer: Mujnib per khana aur pina makrooh he. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya ghusal k bagair khana peena jaiz hai?? or ager pani na ho to majboori mei kyaa kerna chahiyee??
Answer: 1)Mujnib per khana aur pina makrooh he haram nahi. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)