Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.A humbistri k bad orat ko kitini dair main naha lena chahiye kiya subah ka nashta kr k naha ly to koi problem to ni ha

Answer: Wssalam o alykum, humbistari k baad chahe to ghusl kar le or chahe to subbah namaaz e fajar se pehle ghusl kar lain. Lekin ghusl main itni takheer karna keh namaaz e fajar pharhne ka waqt khatam ho jaay to ye jaiz nahi, pas namaaz e fajar se pehle ghusl karna zarori hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 356 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kea ehtlaam k baad khana khana jaiz hai????

Answer: jaiz hai, han ager haath, moon dhoone or kulli karne se pehle khaya jaae to makrooh hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam..kia aap mjhe yeh explain kr skte h k aurat k jism se jo ratoobat kharij hoti h jis se gusl e janabat wajib hota h uski kia nishanian h? insaan ko kis tarah maloom ho k jo ratoobat kharij horhe h woh najis h?

Answer: wo ratoobat jo aam tor per orat ke shehwat ki intiha tak pochne ke baad nikalti hai ager is ko inzaal(yani ratobat ka nikalna) kaha jaae or libaas ko aaloda karde to ye najis hai or ye orat per gusal e janaabat ko wajib kar deti hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 345 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sex k baad pak naha ne ka tarika kiya hy kuch parh te h naha te waqt?

Answer: Jab husband o wife sex (jima)karain to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai or gusal e janabat main kuch pharna wajib nahi hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)

Id: 7630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main jab koi porn movie dhekta hoon ya girl friend say baat karta hoon to mere peshab wali jaga say gada pani nikalta hain toda,to ke is say Rooza toot jata hain or keya iss say Ghusol wajib hota hain?

Answer: 1-Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya pishaab ya koi aur cheese, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikli ho aur is nikalnay k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur issay roza batil ho jata hai aur ghusal-e-janabat bhi wajib hoga. 2-Ethiat-e-wajib k tour per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. Jins-e-mukhalif sai is had tak dosti karna k muhabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojood hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 33rd Edition, Maslah #344,345)(Ref: Jadeed Fiqhi Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla #463 pg #254)(Ref: Nigaah aur libaas, ques #106 pg #69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7637
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA. Ager ghusl k bad namaz Ya Quran perna ho to, Keya ghusl kerne se wuzu ki zarorat nahi rehti. Ghusl kerne se wuzu bhi ho jata hai. Plz reply

Answer: Jis shaks ne ghusl-e-janabat kiya ho zarori hai k namaz k liay wazu na karay balkay ghusl-e-istehaza mutawassita k siwaa tamaam wajib ghuslo aur jo mustahab ghusl saabit hai uskay baad bhi Namaz parh saktay hai. (Ref: Aytaullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalamualikum mera sawal hai ke agar rozay ki halat me neend me ehtelam hojaye to ghusul kitni der me karlena chahiye. ya kab tak kar sakkte hain.sawal iss liye hai ghar se door hai ghsul karne ki sahulat nahi

Answer: Ghusl-e-Janabat fauran karna zaroori nahi ye sirf wajib namaz parhnay k liay aur is jaisi dusri wajib ibadat ke liye wajib ho jata hai. Kuch cheezain hai jo mujnib(jiski mani kharij huwi hai) par haraam aur makrooh hai unsay ijtinaab karay. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#356,1605)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurton me Ratoobat or Inzaal me kya farq hy? kya ye dekh k pehchana ja sakta hy? Ratoobat kapro pe lag jaye to wo bhi napak hy? ghusal wajib hy?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kitne meqdar me sperms nikalny par gusal wajib ho jata hai

Answer: Mani (semen) k kharij (nikalnay say) honay say, chahay mani (semen) neend ki halat main niklay ya jagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.Ghusal jinabat waajib ho jaata hai. Ghusl e janabat wajib namaz parhney k liye aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he.(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam-o-alikum kiya Quran Ki tilawat baghair ghusly jinabat ho sakte hai

Answer: janaabat ki halat me quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haqram hai.in k ilaawa baaqi quraan perhna jaaiz hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fassolat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!