Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7167
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wife k sath spec krny k bd Agr Gusal nai kia to Kuch kha pe sakty hain? Agr nai to q or Agr wife ko kiss krty hi mard k 1 2 katry nikal jay to kya phr b Gusal farz Ho jata hy??

Answer: Halat e janabat main khana pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath moonh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355). Ager ap ko yaqeen hai ke wo mani ke qatre hain to ghusal wajib hai, warna wo qatre paak hain, na un se wazoo toota hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 344 , 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr ehtlam ho aor mani kharij na ho to ghusal krna zrori hy ?

Answer: Ehtalam usi amal ko kehte hen jis men mani kharij ho lehaza ye kehna hi ghalt hai k ehtilam hua lekin mani kharij nahi hui or mani kharij na ho to ghusl wajib nahi hota, Albatta wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kri hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-345)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.mera phla sawal ap sa ye hai..... kia meri bv intercourse k bd ghusal kiay bgair bachy ko feed krwa skti hai??? Dosra sawal mera ye hai....kia intercourse k doran sath mai bachy ko feed krwaya ja skta hai??

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko doodh pilana jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 ) Jima(intercourse )k douraan aurat apne 2saal se kam umar wale bachay ko doodh pila sakte hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5,4th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis admi par gusl vajib ho yani vo gusle janabat ki halat me ho to kya vo mayyat ko kandha de sakta he or us par fateha par sakta he

Answer: jis per ghusal janabat wajib ho wo miyat ko kaandha de sakta hai aur surah fatiha per sakta hai laikin jis per ghusal janabat wajib ho us per quran ki surah sajda ayat no: 15, (surah haa meem sajda) ki ayat no:37, surah najam ki ayat no:62, surah alaq ki ayat no:19 ka perhna haram hai.(in k ilawa koi dosri surah ya dua perhna haram nahi hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya humbistri k doraan bacha jaag jae to kiya maa ocy feed kra skti hy ya nhi?

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam O Alaikum, mjy rkuh ya sajday k doiran kch liquid niklny ka ihsaas hota hay aur kch dn bad shaalwar sy halki badbo mhsoos hoti hy. rhnmai frmayey.

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7359
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir kya ghusal ki halat me hum kuch kha pee sakte hai Q k rat k wqt hum ghusal nhi utar sakte Q k bht sardi hoti hai?

Answer: Janabat ki halat main khana pena makrooh hai, Laikin agr hath munh dhoo lain aur kulli ker lain to makrooh nai hai. (ref:tauzeeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33 th edition,masla#355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar mazi zyada kharij ho to phir ghusal wajib hota he...kaprey pe na girey?

Answer: Mazi paak hai or is ghusl wajib nahi hota chahe kam nikle ya ziyaada. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 2 chezain insan per ghusl ko wajib kar deti hain, 1

Id: 7437
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hain ke jamah k baad jab main ghussal kr leti hun tu kapre pehney k baad vagina se transparent pani nikalta hai.. kya wo napak hota hai? Tu kya mujhe dubara ghusal krna chahiye? Plz iska jwab btaiye main bohat pareshan hun.

Answer: Ager ye pani wo ratobat hai jo orat ko shewat ki intihai halat main is had tak nikalta hai ke orat ke kapro ko aaloda kar deta hai or ager is ko inzaal kaha jaae (yani nikalne baad orat ki shewat katam ho gaae) to ye ratobat o pani napaak hai or ap ko namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal karna hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-Alikum, Mujhe Ghusle-Janabat Ka Mukammal Tariqa Batadain, Aur Shower Se Ghusle-e-Janabat Kis Tarah Liya Ja Sakta Hay? Bara-e Meharbani Tafsily Jawab mujhe E-mail Kar Dain.

Answer: Namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl me Ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai, or behtar ye hai ke badan ka seedhe haath(right hand) ka hissa pehle dhoe phir ulte hath (left hand) ka hissa dhoe. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 , Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye). Jee haan ghusl e janabt shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir ehtiyaat e wahib ki bina per shower ko band karay ya sar ko pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!