Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6841
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Girl friend se bath karthe samay mere ko ehthilam hotha hi. Iske liye gusul karna jaroori hi kya

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi. Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345)

Id: 6896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya phone sex krty wakat wo nikal jay to ghusal krna zarori ha?

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi. Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345) Zina, lawat (mard ka mard k sath bad-feli), Sihaq(orat ka orat k sath bad-feli), Istimna (kisi bhi na-jaiz tareeke se Mani ka kharij krna), or hr qism ki jinsi lazzat hasil krna(chahe wo bat krne k zriye ho, dekhne k zriye) ye sab bare gunahon (Gunah-e-kabeera) men se shumar hote hen. (Ref: Ayatullah_Sistani(d.b) Minhaj_ul_Saliheen, Part#1, Masla#30)(Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6938
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kio admi napaak hai to kya wah aaytal kursi ,darud sarif or sureh fateha padh sakta hai kya

Answer: G han parh sakta hai lekin ayaatoo (jin ki waja se sajda wajib hota hai) ke ilawa dusri 7 se ziyada ayat pharna makrooh hai. Isi tarah quran k alfaz ko hath bhi nahi laga sakta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u walikum Mera sawal ye hai k ghusl e janabat kya hai or is ka tareeqa kya hai Mai ap ki jawab ki muntazir hu

Answer: Wssalam o alykum,Ghusl ka matlb hai ek khas andaz se jism ko roohani tor pr pak krna hai, or iska tareeka ye hai k ehtiyat e lazim ki bina pr niyat e ghusl kr ke pehle pura sar or garden or bad men adan dhona zaruri hai or behter ye hai k badan ko pehle daeen(right) taraf or bad men baeen(let) se dhoye. Or insane 2 chizon se mujnib hojata hai ek jimma (biwi k sath relationship krne se) or dusra Mani nikalne se, chahe mani neend ki halat men nikle ya jagte men kam ho ya ziyada, shehwat k sath nikle ya bger shehwat k or iska nikalna ikhtoyar men ho ya na ho.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , 360 to 370 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6994
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ham quran kis waqt padh sakte hai aur kis waqt par nahi padh sakte?

Answer: Mard ka haalat e janabat main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haraam hai, or is hi terah orat ka halat e nifaas o haiz main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 503 , 448 , 354 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7007
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara sawal ya hay kay mary peshab wale jaga sy din may kafe dafa qatry nekalty hay boht ziada nahi 2 ya 3 drops patly pane ke thara ya kia wja hay plzz tel me

Answer: jab mard ki shehwat ubharti hai to uske aalaa e tanasul se ik ratoobat nikalti hai jis ko mazi kehte hai. Or basa uqaat mani ke baad ik ratoobat nikalti hai jis ko wazi kehte hain. Or basa uqaat ik ratoobat pishaab ke baad nikalti hai jis ko wadi kehte hain. Ager in ratoobatoo ke sath pishaab na mila howa ho to ye paak hai or nahi in se wuzu tootta hai or nahi gusal wajib hota hai. Or ager kisi ne pishaab ke baad istabra kiya ho or phir us koi ratoobat mehsoos ho or wo ye na jaanta ho ke mazkoora baala teen ratoobatoo main se koi ik hai ya pishaab to wo paak hai or mujib e wuzu o gusal nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya husband k sath humbistri krny k bad nahay bgair khana pkaya ja sakta ha?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7086
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya musht zani k bad ghusal kiye bgher khana khana haraam hai?

Answer: Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana, peena makrooh hai Hram nahi hia lekin agar hath moo dho le or kulli kar le to makrooh nahi hai or agr sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام وعليكم Naapak haalat mai baal cut kar sakte hai

Answer: Jee haan janabat ki halat main baal kaat saktay hain or katwa saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354+355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A/A kia ourat ka janab ki halat ma apny bachy ko doodh pilana jaiz hy ??????????

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!