Question: Salam, Barahe karam yeh bata dein Kay agar shohar Kay saath foreplay Kay doran aurat intehai lazzat(climax) mehsoos karey lekin koi ratubat kharij na ho tou kia phir bhi ghusl e janabat wajib yoga.
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: Baghair ratubat kharij hoay faqat intehae sex k mehsoos kerne se ghusl e janabat wajib nahi hota.
Question: Salam mera nam danish hy mera question yai hy k mein jab b hand practice karta ho to foran ghussal karta ho but problem yai hy k phir b mani k kuch katrat nikalty rahte hy ghussal 2 3 ghante tak or kiya un katrat se wazo toot jata hy k ni
Answer: Wssalam o alykum, ye amal (hand practice) haraam o guhnaah e kabeera hai, lehaza toba karain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009). Mani nikalne k bad insan k liye peshab krna mustahib hai agr peshab na kre or ghusl k bad us k peshab k maqam se ratoobat (liquad) nikle jis k bare men wo ye na janta ho k mani hai ya koi or ratoobat to wo ratoobat mani ka hukm rakhti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 347 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: A.o.a mera sawal ha k raat ko biwi k sath pechay se kam karnay se dono par ghusal wajib hoga ya mard par
Answer: Wssalam o alykum, Dono per ghusl wajib hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 348 , Allah Taala hi tofqiaat main izafa farmaane wala hai)
Question: ASSALAMALLIKUM mujhe mardon ke ghusl e janabat ka pora tarika bta den ke kese kia jata hai.
Answer: Ghusl e janabat ka tariqa ye hay:- sab say pehle ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko 2 hisso main dhoya jaay pehle badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ghusul karne waqt nahin hain toh hamme break fast kha sakte kya jayaz hain kya
Answer: Halat e janabat main khana pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath moonh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia dry orgisam (asi practice jis sa manii na nikla but susthi mahsus ho jae )sa gussal farz ho jatha ha ?
Answer: Ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kbi kabaar aisa hota hai k namaz me sajde me jaata hoo to mere ******* se kuch drop bhr nikelte hain.. muje yeh nai pta wo pishaab k hain ya Mani.. to is se kese nijaat pao or Meri Namaz qabool hoti hai..
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai k mene hand practice ki mgr mani ko kharij nai kia. Hand practice k doran ek 2 qatre nikle mgr ab pata nai wo mani thi ya nai, kia mujh pe ghusal farz hogea?
Answer: Shak ki sorat main ghusl e janabat wajib nahi. or wazeeh rahe k hand practice kerna gunah e azeem main se hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #351+ (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Muje bata sakte ho mani kise khete he or dusri cheez
Answer: Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya nightfall se insan napak ho ja ta h?
Answer: Jee haan. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #363). Update on dated 06-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).