Question: Janabat mai koi cheez touch karny say wo chez napak ho jati ya nahi ? Jesy k almari , dresses etc
Answer: Janabat k baad ghusl se pehle insan k jism ka sirif wo hissa najis hota hay jis jagah per mani lagi hoe ho, or baqai badan paak rehta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa . mera sawal ya ha k . mera nikah ho chuka ha jb ma apni wife sy ana wala zindgi k bara ma bt karta ho to mera dick khara ho jata ha or kch dair bd us ma sy pani nikalna lag jata ha kia mojh par gussal wajib ho ga
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam alekum mera sawal hi kya aorat ko sote hue mardo ki tarha aehtelaam hota hai.please mujhe jawab zarur dijiyega bahot zaruri hai janna.shukriya
Answer: Aurtoon ko bhi merdo ki tarah ehtilaam hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa,Mafhoom e Maslah #646). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sorry to say... but agar handpractice k bad mani bahir na nikly pakar lya jy to ghusal toot jata hy..??
Answer: Agar mani nah nikle tu ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #351). Update on dated 16-04-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar mani ka 1 qatra bhi nikal jaye to kya ghusal faraz hoga?
Answer: Jee haan,is sorat main ghusl wajib hoga. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #351). Update on dated 20-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar sirf sex kiya jay our sperm na giry to gushal wajib hota ha
Answer: Do cheezo say i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say). insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) . Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir na paki ki halat me khaney piney k mutaliq kya hukam hai...?
Answer: Halat e jnabat main khana or peena makhrooh hay, liakin agar hath, monh dho lay or khulli ker lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dho lay tub hi karahat kam ho jaey gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #355). Update on dated 13-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me jab meri honi wali wife se baat karta hu to meri peshb ki jagah se pani niklta he (not mani) kya me usi halat me namaz pad sakta hu usko means tissue se.
Answer: 1-Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70) . 2-Ghusl e janbat jima or mani k Kharij hone se wajib hota hay. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 344). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai k mani nilkal ne se jism na paak hota hai ya nai?
Answer: Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye ha ke agar mein kisi larki se bat krta ho to peshab wali jaga se kuch katre niklte hahin kia gusal wajib ha ya mein wuzu kr ke namaz pr skta ho ke nhi???
Answer: Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70). Update on dated 31-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).