Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9664
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir khwab me kesi larrki ki sharmgah chona chahe hatho se ya penis se toh is pe ghusal wajib hota h ?

Answer: Is tarah se ghusl wajib nahi hota. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ). Update on dated 02-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar bilkul thora sa mini kharij ho mard se to kya namaz ho jati he

Answer: Mani k kharij honay sai insaan mujnib hojata hai chahe wo kum ho ya ziada or junub ki haalat mai insaan namaz nahi parh sakta us k liye laazim hai k wo ghusl e janabat karey.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#344 & 356). Update on dated 18-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9702
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ghusal kartey doran baqi semen nikal aye to ghusal shuru se karna hoga ya wo hissa dho kar agye barhan hoga.. wazu karlia tha badan pe pani b bhaa liya tha per kaprey pehntey hue jhuktey waqt qatrey nikal jayein to kia kiya jaye ???

Answer: Mani k qatrey chahey ghusl sai pehle nikle baad mai nikle ya darmiyan mai nikle ghusle janabat karna hoga,agar darmiyaan mai nikle hai to wo ghusl cancel hojaye ga or naye sirey sai ghusal karna hoga.(Ref: Urwatul wusqa, part#1, ayatollah seestani, maslah#686). Update on dated 13-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9711
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya hastmaithun karne ke baad aadmi napak ho jata hai

Answer: Mani k kharij honey sai insan par ghusl e janabat wajib hojata hai chahay mani ikhtiyari tarikay sai kharij ho ya gher ikhtiyari tarikay say.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#344). Update on dated 13-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ehtelaam sae napaaki hoti h agr ehtelam ho jae or bger ghusa life kae kapre tabdeel kr kae namaz prhi ja skti h or ehtelam pr kese kaabo paya jae

Answer: 1) Mani chahey ikhtiyari amal sai kharij ho ya baghair ikhtiyar k ghusl e janabat wajib hojata hai or ye ghusl namaz parhne k liay zaroori hai baghair ghusl kiay namaz agar koi parh le tu us ki namaaz sahi nahi hogi us ko us namaz ki qaza karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 344). 2) Jab aap raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se aman me rahe gay, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇۃ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN,NEE A,OO,ZO BIKA MI,NAL EHTILAAMI WA MIN SOO,EIL IH,LA,MI WA MIN AN YA,TA,LAA,ABA BI,YASH, SHAI,TAANO FIL YAQ,ZA,TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9735
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Mera Qs ye hy ky ager ksiis ko jiryan ki bemari hy aur peshaab ky baad qatry aty hein tu kiya wo napaak ho ga?Aur ghusl karna ho ga ya ni?

Answer: Was Salam. Jiryan ki beemari main jo rutoobat aati hai wo mani k hukum main nahi hoti q k mani usi ko kehte hain jis main teen sharaet moujood hoon 1-Rutoobat ka uchal kar nikalna. 2-Badan ka sust hojana. 3-shehwat k sath anaa. Agar in teen sharaet main say koe aik ya tamaam moujood nah hoon tu phir wo mani k hukum main nahi aaye gi. Lekin agar peshaab k foran baad qatre aarahe hoon aur usey shak ho k ye peshaab hai ya koi or rutoobat or us ne istibra bhi na kia ho to wo rutoobat najis hogi lekin us k liay ghusl nahi karna aparhay ga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#345). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Ager koi shaks ahraam ki haalat mein hy aur us ko jiryan ki bemaari hy aur iss bemaari ki waja sy os ka ehraam ganda ho jaata hy tu kiya koi dam waghera iss py lagy ga ya ni?

Answer: 1) Jiryan ki beemari main jo rutoobat aati hai wo mani k hukum main nahi hoti q k mani usi ko kehte hain jis main teen sharaet moujood hoon 1-Rutoobat ka uchal kar nikalna. 2-Badan ka sust hojana. 3-shehwat k sath anaa. Agar in teen sharaet main say koe aik ya tamaam moujood nah hoon tu phir wo mani k hukum main nahi aaye gi. Lekin agar peshaab k foran baad qatre aarahe hoon aur usey shak ho k ye peshaab hai ya koi or rutoobat or us ne istibra bhi na kia ho to wo rutoobat najis hogi lekin us k liay ghusl nahi karna aparhay ga. 2) Jaisa k bayan ho chukka hay k jiryan mani nahi hay is liay jiryaan ki wajah se kkoe kaffara nahi hoga. (Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#345+manasik e haj,farsi,pg#229). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9742
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr main kisi aurt se baat kron aur mani leak ho jay to gusal farz h ya ni qoitrat

Answer: 1) Is tarah ki baatein karna jaiz nahi hai(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo pak hai. Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur namaaz k lie ghusal karna zarori hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe.aur ghusal wajib nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39st edition, maslah #,,70,1553,344,345 ). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9752
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualekum janab agar naapki ki doran hum koi saaf kapda pahen le tu kya wo bhi napak ho jata hai ....or napki me kapdo dhote hai tu kya wo pak ho jayege ya nahi

Answer: Was salam. Janabat k baad ghusl se pehle insan k jism ka sirif wo hissa najis hota hay jis jagah per mani lagi hoe ho, or baqi badan paak rehta hay hatta k fail e haram sai mujnib hone wale ka badan or paseena bhi paak hai lehaza agar wo bhi cheezo ko haath laga le to najis nahi hoti (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #114).or agar jism k kisi hissay par nijasat lagi ho or wo shaks paak kaprhay pehen le or wo nijasat paak kaprhon ko lag jaey to kaprhey bhi najis hoonge warna paak rahey gay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar humare penis se safed chipchipa pani nikale to kya hum namaz padh sakte hai

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaey gi. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayen gee. 1)Shehwat k saath niklay. 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein doosri aur teesri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aala-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hay. Is k alawa wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab k baad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!