Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ramzan may ghussal ka masnoon tariqa kia hy . kia ham kolle kar sakty hain...........plz rahnomai kare

Answer: Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2487
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya sirf ghussal karne se namaz parh sakte he kiya wazoo karna lazmi hota he ?

Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2490
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mani ke niklne ke bad kia pak hona zarori hai aur kia naha se pak ho jate hain? aur agar pak hona zarori hai tu pak hone ka kia tarika hai? aur mere sote wakt mani nikal jata hai iska koi hal hai...?

Answer: 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) Wazifa : 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me mutahlim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇﮫ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BI KA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya main, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2) Surah e al tariq k khawas me he k sote waqt is ko parh k ethilam nahi ho ga. (ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusal e haiz ka masnon tarika kia hai

Answer: Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#360-365) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2635
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asaalamo alikum. mjhai sirf yai phoochna hai kai ghusal main naak main pani kha taak phoon chaana chahyai?(tafssel)

Answer: Tarteebi ghusl me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan or bad me badan dhona zarori hai, kan aur nak k andruni hisson ka or har us cheez ka dhona jo batin(andruni) shumar ho to wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamo alykom janab main pehle dono hathon ko gatton tak dhota ho phir wuzu karta hoon phir badan par sabun lagata hoon is ke baad tamam badan par pani bahata hoon kya mera gusal ho jayega

Answer: (Tartibi) Ghusl men insan pehle apne sar_o_garden ko dhoe, phir badan ke 2 hisse farz kare or daaen hisse(right) ko dhoe or phir baaen hisse (left side) ko, ap ka ghusl sahi hai agr apne upr wali tarteeb k mutabiq kiya hai to chahe ap sabun lgane k bad kren ya pehle chahe apka jisnm khushk ho geela ho is farq nahi parta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2730
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gusl-e-janabat mei sir k Baal dhona zaruri hai?

Answer: Ager sar ke balo ke bageer sar ki jild ko dhona momkin na ho to balon ko dhona wajib hai lekin agr bger balon k dhoye agr sar ki jild dhul jaye to koi harj nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 378 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2831
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: im a new muslim kindly yai batain k ghusal kin halaton m farz hai kin per nae hai agar you tube per koe clip daikh per kuch mehsos nae hwa jb sharam gah ko daikha to katra nazar aya is halat m kya kya jai

Answer: Na-balig per gusal or is hi terah ki or dosre wajibaat wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 2). Albatta Balig Mard per 4 chezoo or Balig Orat per 7 chezoo ki waja se gusal wajib ho jata hai.Mard per gusal wajib hone ki wajohaat, 1 – gusal e janabat (yani mani ka nikalna ya jima ka karna chahe mani nikle ya na-nikle) 2 – gusal e mass e mayyat (yani mayat ka badan thanda hone ke baad or is ko gusal dene se pele is ko chone ki waja se chone wale per gusal wajib ho jata hai) 3 – gusal e mayyat (yani ager koi musalmaan mar jaae or us ko koi gusal dene wala na ho to ap per gusal dena wajib hai, lekin ager koi or gusal de raha ho to phir ap per gusal dena wajib nahi) 4 – insan apne uper nazar ya qasam ki waja se gusal wajib kare.Orton per gusal wajib hone ki wajohaat, 1,2,3,4 – ye wo gusal hain jin ka zikar uper ho chukka hai, 5 – gusal e haiz, 6 – gusal e nifaas, 7 – gusal e istihaza.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # after 343 , 344 , 511 , 531). Ye qatra mani nahi hai pak hai o ap faqt wazu kr k ebadat ko baja lasakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya muslman naked hokar gusl kar sakta hai?

Answer: G han kr sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 379 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikom .mra swal ap se ye hn ke mri bivi ko akily main sex ke feeling hoti hn ur same timme us ki mani nikal jati hn ur same time wo us waqat control kr liti hn (usy mahsos ni hota hn k mani nikli hn ya ni ) is waqat us ko kia ghusal farz hn ya ni

Answer: Wssalam o alykum, shak ki halat main gusal e janabat wajib nahi hai, or ager mani ke nikalne ka ilm hai to Namaaz or Is jesi dusri Ibadato ke liye gusal wajib hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 351 , 356 , Allah Taala hi tofiqaat main farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!