Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1448
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam valekum ghusl ki niyat kya hai aur ghusl ki dua aur ghusl kaise kiya jata hai?peshab se pakha kaise hote hai aur uski dua kya hai?

Answer: Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bergah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) .2) Ghusl e janabat kertay wqat dua perhna wajib nahi hay.ye dua perhna behter hay.( allaahumma tahhir qalbee washrah lee sadree wa ajri alaa lisaanee midhatak wassana.a alaik allaahummajalho lee tahooraa washifa awa nooraa innaka alaa kulli shaein qadeer)3) Aur gusl ka tareeqa ye he ke gusl me atheiat e wajib ki bina per lazim he ke gusl ki niyat ke sath pehla pura sur aur gardun aur bad me badan dhona zaruri he aur behtr ye he ke badan ko pehla dein (right) taraf se aur bad me bein (left) taraf se dohein. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 360)

Id: 1519
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,mera sawal ye hai k kisi bhi wajib ghusal k baad agar bacha hua pani jism par daal diya jaye to kia ye sahi hai??

Answer: Jee haan ghusl sahi he. Is se ghusl batil nahi hota. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 344 pg # 62)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1521
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat ka gusul ka tareeq in urdu lang

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Khoe(d.b), tauzee hul masail,maslah#367-372). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)

Id: 1573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: saLam........ meri age 18 years hai mujh kon kon se gusul wajid hen gusul karney k tareeqey batein

Answer: 1)Wajib ghusl 7 hain. 1)ghusl e janabat 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifas 4)ghusl e istehazah 5)ghusl e musa e mayyat 6)ghusl e mayyat 7) wo ghusl jo munnat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jey. In 7 ghusl me se 3 ghusl auratoon se khas hein baki 4 ghusl aap per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62) 2) Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).

Id: 1622
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shower k neechay ghusal krtay howay 3 bar pora jism par pani bahana zrori ha ya 1 bar kafi ha.or

Answer: : Ghusl main jism k har hissay per 3 baar pani daalna wajib nahi hay, balkeh mustahab hay.(Ref : urwatul wusqa, Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 683)

Id: 1660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal kay doraan ager hamain aisa lagay[per confirm naa ho) kay pait kharab honay ki waja say gas nikal gyi hai to iss say ghusal ho ga?

Answer: Agar ghusl k doran kisi shakhs se hadas e asghar sarzat ho jey maslan gas nikl jay to us ko ghusl ko tark kar k na’ey siray se ghusl karna zarori nahi he balke wo apne is ghusl ko mukammal kar sakhta he is surat me ethiat lazim ki bina per wuzu karna bhi zurari he.or agar shak ho tu ghusl k baad wuzu bhi zarori nahi hay siwaay ghusl e istehaza k ,Q k is k baad ibdaat k liay wuzu kerna zarohota hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384,389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1675
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal kab farz hota hai? Kya qatry aany kis waja se bi ghusal farz ho jata hai. qatry kis had tak ayain to ghusal farz hota hai. in ki kya alamat ho sakti hain.

Answer: 1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 3)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam in case of female masturbation ghusal wajib hone ki surat ma kya niyyat ki jae ge?kya faqat niyyat ma wajib ghusal kehna kafi ha ya hr ghusal ki niyyat ki adaegi alag ha?

Answer: Ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat karain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1808
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plz Tell me the proper steps of ghusl e janabat. Thanx

Answer: 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) 2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383) 3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.ma jab bi peshab karta ho to lais dar katrey nikalte ha.mje btae es ka bad mj par gusal wajib ho ga ya nai?

Answer: wo ratoobat jo baaz awqaat peshaab kay baad niklti hai agar peshab us sai mila hua na ho to wo pak hai aur os ko wadi kaha jata hai wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah# 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!