Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam. larkion ko aksar transparent liquid pas hota ha,mera swal yeh ha k agr baar baar wazu kray aur baar baar liquid pas hojaey to kia karna chahiye?

Answer: Aurat k lye pheshaab k baad istabra nahe hai. Pas agar koe ratobat kharij ho aur shak ho k ye pheshab hai k nahi to wo ratubat paak ho gi aur us ka wuzu aur ghusl bhi batil nahi kare gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #74 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal ka tareeqa btain.

Answer: Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3031
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurton k liye jachki k bad paak hone k liye ghusl ki dua aur ghusl karne ka tarika?

Answer: Dua perhna waajib nahe hai aur Tertibi ghusl me ehtiyate lazim ki bi per ghusl ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please explain me that method of Gusal e Janabat after intercourse for both husband and wife.

Answer: 1) Ghusl for Janabat is obligatory for offering thedaily prayers and other similar acts of worship. 2) There are two methods of performing Ghusls, bothWajib and Mustahab. 1)Tartibi (Sequential) 2)Irtimasi (By submerging the whole body). 1)Tartibi (Sequential) In this method, a person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash one’s head and neck, and thereafter the remaining parts of one’s body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part. 2) Irtimasi (By submerging the whole body). Ghusl by way of Irtimasi is either carried out instantly or gradually. If the Ghusl of Irtimasi is to be done at one instance, then water must reach all parts of the body at one time. However, it is not necessary that the whole body be submerged in water from the very beginning of Ghusl. If a part of the body is outside, and is later submerged with the niyyat of Ghusl, it will be deemed in order. If one wishes to perform Irtimasi Ghusl gradually, then it is necessary that the whole body is out of water before Ghusl commences. Then one would submerge one’s body gradually in water with the intention of Ghusl. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-367) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shawar k zaryey ghusul jayez hai aur tariqa bhi batay

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365) Ghusl e tertibi main agar shower k zerye se ghusl kia jaay tu ghusl ki niyat se shower k neechay jain or sar o gardan ko dhoain or ehtiyaat e wajib ki bina par shower se bahar aain or ghusl ki niyat se dobara shower k nichay jain or behter ye hay k badan ko do hisso main dhoainpehlay seedhi taraf k hissay(right side) ko dhoain or bahar aain or phir ghusl ki niyat se teesri baar shower k nichay jain or ulti taraf k hissay(left side) ko dhoain. (Email rcve from A.Sistani(d.b), dated: May 14, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamoalikum!! Main jab b apni girl friend say mobile per chat karta hun rat ko tou usually mani k qatray say meri penis tip gilli ho jate hai..ki is say insan na pak ho jata hai or ghusal zarori ho jate hai ??

Answer: 1-jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2-Jo ratubat insan shehwat angaiz tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i just want to knw kya janabat ka aur haze ka gusl ek saat kr sakte hain ya ek hi din alag alga gusl kr skte hai

Answer: Jis shaks per kae(many) ghusl wajib hoon wo in sab ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay or zahir ye hay k agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay tu wo baqi ghuslo k liay kafi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 387). Note: is fatway se 3 baatain wazeh ho rahi hain k 1-aap ghusl e janabat or ghusl e haiz dono ki niyat ker k aik hi ghusl ker sakti hain. 2-aap ki merzi hay k ghusl e haiz ki niyat ker k ghusl haiz karain or phir ghusl janabat ki niyat ker k ghusl e janabat Karain. 3-aap kisi aik ghusl ki niyat ker lain tu bhi aap k baqi ghusl ada hojain gay. Maslan aap per ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hay tu aap agar ghusl e janabat niyat se ghusl ker lain tu phir aap per wajib nahi k ghusl e haiz bhi karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusl ki niyyat batae

Answer: Ghusl ki niyat dil se guzaarna ya maslan zabaan se ye kehna k main ghusl kerta hoon “qurbatan ilal laah” {قربۃ الی اللہ} zarori nahi hay. Balkeh agar aik shaks ghusl k tamaam af,aal (kaam) Allah k hukum per amal kerne k liay baja laay tu kaafi hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 281+379). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3340
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A kya ghusal karne se wuzu ho jata hai?

Answer: Jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zarori hay k namaz k liay wuzu nah karay.balkeh ghusl e istihazah e mutwasitah k siwa tamaam wajib or mustahab ghuslo k baad bhi namaz perh sakta hay.agarchah ehtiyaat e mustahab ye hay k wuzu bhi karay. (Ref: Ayat ullah Seestani (D.B),Tazee hul masail,Maslah # 389).

Id: 3356
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusle Janabat Ka sahi Tarika bataye?

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!