Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gusl e janaabat ki niyat

Answer: Zarori nahi k ghusl k waqt niyat karey k wajib ghusal kar raha hoon balkeh faqat qurbatan ilal,laah yani baargah ilaahi main frotani or aajizi k iradey se ghusl karey to kaafi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # #357 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3976
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaamalaikum, niyyat (or) dua ghusl-e-haiz ke liye? aur jo bhi niyyat (or) dua ho wo ghusl k waqt kab padhni chahiye. ghusl-e-haiz ka tariqa bhi detail me bataiye,plz.

Answer: 1-Zarori nahi k ghusl k waqt niyat karey k wajib ghusal kar raha hoon balkeh faqat qurbatan ilal,laah yani baargah ilaahi main frotani or aajizi k iradey se ghusl karey to kaafi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # #357 ) 2-Ghusl e haiz k waqt koe dua perhni wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 357) 3-Ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1:Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusl nifas ki niyyat kya hai?

Answer: Ye zaroori nhi k ghusl k waqt niyat kray k wajib ghusl kr rahi hoon bal k faqat ÞÑÈۃ Çáی ÇááÀ yani khuda ki bargah mai aajzi k iraday sai ghusl kray to kafi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 357) note : niyat ye ho gi: Mai ghusl e nifas krti hon ÞÑÈۃ Çáی ÇááÀ

Id: 4215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SAWAL YEH HAI K AIK TO YEH HAI NA GUSAL K LIAY K PEHLAY GANDI JAGA DHO K WAZU KR K PHR SARY JISM PY PANI DALTY HAI LAKEN AGER PEHLAY GANDI JAGA NA DHOI JAYE AOR PEHLAY WAZU KR LIA JAYE PHR SARY JISM PY PANI DAL LIA JAYE PHR BI GUSAL HO JAYE GA ???

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Ghusl e irtemasi(paani main ghota lagana) ya terteebi mein gandi jagah(yani jism ka najis hissa ) ka ghusl se perhay paak hona zarori nahi hay balkeh agar pani main ghauta lagay ya ghusl k iraday se pani badan per daalnay se badan paak hojay tu ghusl sahi hoga. gusal ka tareeqa ye hai k etiyaat e lazim ki bina par gusal ki niyet k sath phely sar or garden ko dhoain or bad mein badan dona zarori hai.or ghusl se pehlay wuzu kerna bhi zarori nahi hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 360 )

Id: 4307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gosal ka tareeqa

Answer: Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka irada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rdEdition,maslah # 360) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam!mera sawal ye hai k gusal e janabat ka tareeqa bta dain plz tafseel sy bta dain?

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o aliaikum janab ghusal-e-jannabat ka tareeka to btaiye detail sy plllllllzzzzzzzzzzz

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4401
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam-o-alikum athlam ka bad jism k gusal ka tariqa kia ha

Answer: Agar ehtilam ho jae to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a. Sir 1masla pochna tha k kuch log ehtelam k baad ghusal kr k wohi mani wale aur napaak kapray dobara pehn letay hn to kya us se phr ghusal wajib ho jata he?

Answer: Is amal se ghusl tu wajib nahi hota laikin agar kerprhay ki napaak jagah badan k saath gilahat k sath lagay tu badan ka wo hissa najis ho jay ga or badan ka sirif wohi hissa paak kera ho nah k pora badan. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4455
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kharen ho ker shower lay sakhte h ghusal hojae ga???

Answer: Jee haan, terteebi ghusl shower k zerye bhi anjaam diya jasakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, 1430 hijri edition, maslah #185 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!