Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9641
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALHEKUM .. AGR MANI PESHAB KRTE WQT BD MEI NIKLE YA NAHTE WQT..TO USKE BD B GUSUL WAJIB ? OR MANI NIKLTE WQT KISI B CHEEZ PE NA LGE TO JISM YA KAPRE PE TO GUSUL WAJIB ??

Answer: was salam. Agar yaqeen ho k jism se kharij hone wali rutoobat mani hai to ghusl wajib hoga or agar mani kisi cheez par nah lage to wo cheez paak hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 347 and 119) Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yeh hai agr neend mei napaki hojae aur plaster chara ho aur wuzu na karske phr kya kren

Answer: Agar badan per zakham ya phorha ho tu mukallaf ko ikhteyaar hay k ghusl kare ya tayammum kare..(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 338). Update on dated 15-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager raat ko sotay mein ehtalam ho Jaye lekin lazat mehsoos na ho or fajar ki namaz ici halat mein padh li yani na jantay huay tu Kya namaz ho Jaye gi jab k kapdon per bhi deehan na jaye

Answer: Ghusl e janabat ker k dobara namaz perhni wajib hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 353) Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9734
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera qs ye hy jiryan ki bemari mein jo peshaab ky baad qatry aty hein tu kiya kapry napaak jaaty hein?Os mein namaaz parh sakty hein aur ghusl karna parta hy ya ni?

Answer: Was Salam.Jiryan ki beemari mai jo rutoobat aati hai wo mani k hukm mai nahi hai q k mani osi ko kehte hain jis mai teen sharaet moujood hoon 1.rutoobat ka uchal kar nikalna 2.Badan ka sust hojana 3.Lazzat k sath aana.agar in teen sharaet main sai koi aik ya tamam moujood nah hoon tu phir wo mani k hukum mai nahi aaye gi.or is k liay ghusl nahi karna hoga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 345). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum mera sawal hai ki Kya janabat or haiz ka ghusl ek saath liya ja sakta hai ya do no alag alag lena zaruri hai?

Answer: Was Salam, jee dono ki niyat ker k aik ghusl kia jaa sakta hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#387). Update on dated 15-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9782
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu alaykum hazrat agar me jab ladki se baat karta hu to sharmgah se ek boond pani nikal jata hai pani niklne ki wjah se kya body paak rahegi

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9789
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-valaikum ...bhai mera sawal ye hai ke agr gusal karne ke bad jb washroom se bahr aane ke bad kapre change krte waqt meri sharam gaah se agr liquid katre nekle (mani ya wazi ya mazi) to kya phir se mujhe gusal karna parega ????

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70,347) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 23-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sex k bad half body bath karke namaz ada kar sakte hai?

Answer: Jee nahi namaz k liye mukammal ghusl shariyat k bataey hoay tariqay k mutabiq anjaam dena hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 348). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara swal ya ha ka agr kapron pa muth gir jya to usa agr wash kea jya to kia gusal wajib ho jata ha????plzzz reply 4 it

Answer: Istimna gunahan e kabeera mai sai hai.mani chahey ikhtiyaar sai nikle ya be ikhtiyaar ghusal wajib hojata hai(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 344). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya jb ham bathroom m gusal karte or Bina kapda pahne huwe karte hai to Kya gusl hogi ?

Answer: Jee haan, aisa ghusl durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #360). Update on dated 28-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!