Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9926
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal krty waqt agr sharmgah ko hath lag jaye to is k bary mein kia hukam hai. Kia hath pr ak hi bar pani baha dena kafi hai?

Answer: sharmgah ko hath lag jaey tu koe haraj nahi hay lekin agar sharmgah per koi nijasat lagi ho to us ko pak karna parhy ga. Agar peshab say badan najis ho jaey to 2 baar dhona hoga warna aik baar dhona kafi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #154). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya romance karte waqt penis se jo pani nikalta hai wo paak hai ya naapak

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9934
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr zina krke nhane ke bad mni fir nikle to kya waps nhana pdega

Answer: Agar aap ko yaqeen hojaey k wo mani hi hay to ghusl wajib ho jaey ga. (Ref: Touzeeh ul masael masala no 344). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir mera question hai ke agr mazzi lazat ke sath nikle to kiya gussal wajib ho jata hai?

Answer: Jab tak yeh yaqeen ho k wo mazi hاy to wo pاak hoti hai chahay jitni miqdar ho.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition,maslah # 70) [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hello ..if husband does fingering but wife does not release anth ..shud she ghudul or not ?

Answer: is sorat main ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 345) [Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gusal jannabat ka tarika

Answer: Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367) [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi dosre ki maani hath pe lag jae to Kia hum pe bhi ghussal wajib hojaeg?

Answer: Nahi , mani lagnay se doosry shakhs par ghusl wajib nahi hoga sirif us ko dhona kaafi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 344 ) [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kindly let me know face ki shave Karne send ghusul wajab ho jata he ?

Answer: Nahi is say ghusl e wajib nahi hota lekin ehtiyaat e wajib ki bina thorhi(chin) ki darhi k baal moondna(shave) jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), al-masel ush shariyah,Mafhoom e Question #14). [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum... Ager fohash film dekhty huay jo liquid nikalta Hai lekin wo pure white Nahi Hai. Agr us ki smell mani se na milti ho or agr milti ho to Kia ghusal farz Hai?

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352) [Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10132
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamoalaikum mera sawal yeh hai pehle maai wese hi ghusal karta hun achi tarah phir niyath karke jab mai ghusal jannbat karta hun tou bad mai mere dil ma shak jesa hota hai ke mere ghusal howa ya nahi iske bare mai agr batain shukria...

Answer: Ji haan aap ka ghusul sahi hai. ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!