Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10292
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mard ka pani agr aurat ko thoda sa b lag jae to ghusal wajib hojaega?

Answer: Agar humbistri mai dukhool kia hai tu chahay koi rutoobat kharij ho ya na ho ghusl wajib hoga. Lekin dukhool nah hoa ho tu agar wo rutoobat najis hai tu phir faqat us ko paak kia jaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhay constipation ki wajah say stool paas hotay waqat mani kharij ho jaati hai, kia is wajah say mujh par ghusal wajib hai?

Answer: Mani k khaarij honay sai ghusal wajib hojaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10331
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir gusal ka sahheh tariqa bataain

Answer: Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10340
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Raat ko agar sotay waqt aik do qatary muni kay nikal jayn to kia is soorat mayn ghusal karna zaruri hai ya is ka koi or hal b hai?kindly meri rahnumai fermayen shukria

Answer: w.salam. Mani k kharij honay sai ghusl wajib ho jaata hai chahay kam niklay ya ziada niklay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani eiditon#41, maslah no 344). [Updated on 27-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya rozay ki halath mai ya normal din baal katakar bina gusal ke namaz pad saktay hai??

Answer: Jee baal katane k baad ghusl wajib nahi hota lehaza namaz parhi jasakti hai roza bhi rakha ja sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 344). [Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr orat ko hambisti k doran mani na lagi ho to us par gusal wajib hai?

Answer: agar dukhhool hoa hai tu chahay mani kharij hoi ho ya na hoi ho ghusal wajib hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#348) [Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Aleakum Ager urine krty huway shewat ho to urine mai Mani ki mojudgi hoti hai mean urine mai mani asagti hai? Or kesy pechany gay k Jo rutubat kharij huwi wo mazi hai ya mani?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat mazi ho to paak hay (Ref: Tauzeehul masail a sistani pg#62 masalah#345, pg#25 masalah#70). [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1-Mujhay ye puchna tha k Ahtilam hone k baad konsa Ghusal wajib hota ha or is se Roza tote ga ya nahi? 2- Ghusal sirf pani se kare ya Sabun (Soap) se karne zarori ha

Answer: 1-Ehtilam k baad insaan per namaz perhne k liay ghusl e janabat wajib hojata hay. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael, edition#35 mafhoom e maslah#344). Din k waqt ehtilam sai roza batil nahi hota hai aur jisay ehtilam ho is ka farz hai k wo namaz k lie ghusl janabat karay rozay sai is ka koi taluq nahi hai. or ghusl faqat paani se kaafi hay. (Ref: Ayatullah sistani d b jaded fiqhi masail maslah#100 pg 88). [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10487
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye he kya shehwat ki halat ho or qatre girte hy wo mani ki tarah uchal k ya lazat k sath ya sust kar k na ayi ho to ghusl farz he ya nahi?

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay 1-shehwat k sath nikly 2-uchal ker nikalay 3-uskay nikalnay k bad badan sust hojaey lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#169). [Updated on 28-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10498
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salm agar haat fractured ho or hast par Patti ho tu gusal e janabat kasa ada kiya haya

Answer: Ghusl e mayyit k ilawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hay keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaey aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai (Ref: Ayatullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#338). [Updated on 28-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!