Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kam krte waqt mere nails pe thori si \\\"elfi\\\" lagi reh gae thi .phir mjhe ghusal ki hajat hoi. Lekin mjhe baad Mai pta chala k mere nails pe elfi lagi reh gae thi .Kia Mera ghusal theek Raha ya mjhe dobara krna hoga?

Answer: jee rukaawat ko hataa kar dobara ghusal karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 373,376) [Updated on 01-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10819
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr sunnat k tariqe say ghusal krte waqt koi step ghalat ho jaye to sirf ghusl k farz ada kr liye jaye to ghusal ho jata hai

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kia gandy khiyal or fehesh dekhny se mazi nikal jaye to ghusal wajib hota hai.?

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 01-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 10848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar raat ko ehtilam ho jaye lekin ehtilaam yad na ho to ghusal farz hota hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356). [Updated on 18-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10955
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, mera sawal ye ha k agr mjy veham ho k sotay wqt mani kharij hui ha, jb k subha uth k dekha jy to kapron pa us k koi nishaan na hon to kya ghusal wajib ho jata?

Answer: agar mani nikli hai to ghusal wajib hoga aur agar sirf veham hai to ghusal wajib nai hoga. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masala no 344 ). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10958
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: GHUSAL KE 3 FARZ KYA HEIN

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370) [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10974
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Jism sa pani kharij ho jaye MAGaR WO jism py ya kapro py kahi na lgy to Gusal faraz ho ga kiya?

Answer: Mani k kharij honey sai ghusl wajib ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 17-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager periods k bd baa utarty wqt Kuch Baal rh Jain bd main pta chly to gusal hogya k ni?

Answer: ghusal me agar baal barabar badan bhi undhula reh jaye to ghusal batil hai, lekin kaan, naak ke androni hisson ko aur har us chiz ka dhona jo batin shumar ho wajib nahin hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, masla 373). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghussal haiz ki neyat kiss tarah karna chahie

Answer: Ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat karain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11038
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager admi majboori ki wajah se gusal na kr ske to namaz parhi ja skti ha ghusal ke bagair Mera bazoo frecture ha

Answer: to is surat me apko ghusal e jabira karna hoga. Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai. (Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41,mafhoom e maslah#338). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!