Question: kisi ki Sharmagha dekhne se kya gusal tut jata he
Answer: jee nahi is se ghusal wajib nahi hota. ( Mafhoom e Masla ) ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail 42nd edition, Ghusal ke Ahkam, Masla No # 343 ). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر عورت شوھر کے ساتھ رومانس کرے دخول نہ ہو اور عورت کو مزہ حاصل ہو تو کیا عورت پے غسل واجب ہوتا ہے
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar gusal ka doran hawa kaharj ho jaye ya shak ho ka hawa kaharj hwi ha ya nai to kia hukam ha gussal dbbra krna hoga ya nai
Answer: Agar ghusl k doran kisi shaks se hadas e asghar sarzad ho jaey masalan pehsab kar de to us ghusl ko tark kar k naye siray se ghusal karna zaroori nahi hai balkeh woh us ghusl ko mukammal kar sakta hai us surat men (ehtiyaat e lazim ki bina par) wuzu karna bhi zaroori hai lekin agar woh shaks ghusl tarteebi se ghusal irtimasi ki taraf ya ghusl irtimasi se ghusl tarteebi ki taraf palat jaey to wuzu karna zaroori nahi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, maslah #384,edition 41, https://www.sistani.org/urdu/book/61/3631/). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr khwab men ahtlam hony lagy or control hojy or chand qatry beh jaen to kia gusal krna parta hy
Answer: Do cheezon se insan mujnib hota hai i)Jima (Intercourse) ii)Mani ka kharij hone khuwah woh neend ki halat me nikle ya jagte mein, kam ho ya ziada ho , shehwat ke sath nikle ya beghair shehwat ke, aur is ka nikalna mutalliqa shaks ke ikhtiar me ho ya na ho. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail 42nd edition, Maslah No 344). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A. O. A Sir mera questin yeah h k jub koi admi apni ourat k sath milta h... Us ourat ko us k foran bad hi periods ho jaty h... To kia us ourat par janabat ka gusal foran wajib h ya periods k bad wo haiz k gusal k sath hi gusale janabat kar sakti h??
Answer: Ap chahen to foran janabat ka ghusal kar len warna ap haiz ke ghusal ke sath bhi kar sakti hain. 1.jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyyat kar ke aik ghusal kar sakta hai aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla no 387). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr sardi zyada ho aur ghusal karna mushkil ho to kya tayammum kiya jasakta hai? Aur ghusal ke badle tayammum karna kafi he ya wazu b zaruri he
Answer: ghusal e janabat wajib namaz parhne ke liay aur aisi dosri ibadat ke liay wajib ho jata hai lekin namaz e mayyat , sajdah e sahaw, sajdah e shukar aur quran majeed ke wajib sajdon ke liay ghusal e janabat zaroori nahi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail ,Masla #356). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi 11 din himbistre maray aulad k hasool k liye toh uskay liye gusal ka tariqa bta dain please qk agar main roz gusal karun gee toh meray baal jhar jain gay yan sardi lag jati hay please bta dain
Answer: jub jub intercouse hoga ghusal karna hoga or ghusal ka wohi tareeqa hai jaise doosre ghusal anjaam diye jaate hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ehtalam k bad sirf salwar hi dhoni chahiya ya jism pr pehny hoy sab kapry dhoy jain gy?
Answer: Jahan jahan mani lagi hogi un un maqamaat ko paak karna hoga tamaam kapray or jism dhona zaroori nahi albatta namz or is jaisi ibadaat k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 115). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mard ki sharamgah or urat ki sharamgah ko apas main touch krnay say bi gusal wajib ho jata hai?
Answer: Agar dukhool (intercourse) hoa hai tou chahay mani kharij ho yaa na ho mard aur aurat dono par ghusal wajib hojaaye ga lekin agar dukhool nahi hoa or mani bhi kharij nahi hoi tou ghusal wajib nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ghusl ke baad wuzoo karna zaroori hai
Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balkeh ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389). [Updated on 08-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]