Question: Agar mayyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Jaya to Kiya dobbara dho Kar phan layna Chahiye
Answer: jab tak ghusal mukammal na jaye jo pani mayyat se lag kar ayega woh najis shumar hoga. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, mafhoom e masla #119). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar mayyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Jaya to Kiya dobbara dho Kar phan layna Chahiye
Answer: jab tak ghusal mukammal na jaye jo pani mayyat se lag kar ayega woh najis shumar hoga. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, mafhoom e masla #119). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat kitni dair tak halat-e-janabat mein reh sakti ha matlab k hambistri k foran baad gusal karna chahye ya 1,2 din baad bhe kiya ja sakta ha
Answer: w.salam Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he lakin namaz e mayyit, sajdah e sahv, sijda e sukhr aur quran majeed k wajib sajdo k liay ghusl e janabat zarori nahi hay (Ref Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani d.b, tauzeeh ul masail, maslah 344,356). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia miaan bivi jamaa k bad ikathe ghusal kr sakte Hain?
Answer: Jee Jaiz Hai, Mian biwi ek dosre ke liay pori tarah mehram hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal janabat or ghusal haiz dono sy pehly wazoo krna hota hai? Ya kisi 1 ghusal me? Or agr wazoo krna hai tu kia sar or pao ka masah bhi krna hai? Kis ghusal k bad namaz k liy wazo zarori nahi?
Answer: Ghusl sai pehle wuzu karna zarori nah hay or ghusl k haiz k baad wuzu krna zarori nahi hay or ghusl e janabat k baad laazm hai k wuzu nah karay. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 389). [Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal janabat or ghusal haiz dono sy pehly wazoo krna hota hai? Ya kisi 1 ghusal me? Or agr wazoo krna hai tu kia sar or pao ka masah bhi krna hai? Kis ghusal k bad namaz k liy wazo zarori nahi?
Answer: jis shaks ne ghusal e janabat kia ho use namaz ke liye wozo nai karna chaiye lekin agar koi aur ghusl kiya ho to sirf us ke sath namaz nai parhi ja sakti balkeh wuzu bhi karna parhe ga. (Ref: Ayatullah Sayyid Ruhollah Khomeini(R.A),Tauzeehul masail maslah #391 ). [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A. O. A Sir mera question yeah h k jub koi banda intercrouse karna start karta h lekn wo start main hi kisi waja say chor daita h.. Or donu hi hisband wife discharge nahi hoty to kia donu par gussal wajib h
Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aurat par musht zani (fingering)ke bad ghusal frz hojata h ya nhi?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)Û” [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا خاوند اپنی بیوی Ú©Ùˆ غسل دے سکتا ÛÛ’
Answer: Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548) [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walikum Neend me ganda khawab dekh kar (sperm) nilkal jata hai usse gusul farz hota hai... Aur usse bistar dhona padta hai ?
Answer: 1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 2. Mard aur khoon e jahinda rakhne wale har nar haraam gosh janwar ki mani najis hai or jis pak cheez se ye lage gi tu wo bhi najis ho jaey gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344,84 ). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]