Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar peshab ke raaste se Kuch safed nikla ya Nahi shak ho tohnkya main paak rahunga ya napaak ho jaaunga

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11321
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat se salwar ke uper se mubasirat kerne per gusal farz hoga

Answer: jima (intercourse) karne se ghusal wajib ho jata hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul masail, Maslaa no 344). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, mia or biwi nanga laity or un k sex parts b aik doosry ko touch krain, pr intercourse na ho or na hi mani nikaly to kya un py gusl farz ho ga?

Answer: Is sorat main ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr husband apni wife k andar release huwa ho aur wife release na huwe ho. Tou kya aurat par bhi nahana wajib hai. Wife wet huwe ho. Par release na huwe ho.

Answer: Faqat dukhool sai ghusl wajib hojaata hai mani ka kharij hona laazmi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi k saat thoda sa intercourse karke hat jaye aur na wo discharge hu aur na hi mai Toh kya gusul karna padega

Answer: Ghusul e janabat 2 cheezoo sai wajib hota hai. 1-jima(intercourse) krnay sai. 2-mani ke nikalne se. (Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11339
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Mujhay ye confirm karna tha k agar mani kapro ko na lagy jaisy hi nikly taharat kar li jae to phir ham Pak go jaegy ya phr bhi ghusal karna hoga

Answer: Agar mani kharij hoi ho tu namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl karna wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujy sawal ya hy k agr husband wife oral sex kry to is sy ghusal farz ho ga kya

Answer: Jee nahi is surat me ap par ghusal wajib nahi hoga, kyun keh Ghusul e janabat 2 cheezoo sai wajib hota hai. 1-jima krnay sai. 2-mani k niklnay sai is k alawa ghusl e janabat wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344). Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar need me aurat ko feelings huwi lekin koi discharge na huwa to kya tab bhi gusul wajib hai

Answer: Jee nahi is surat me ap par ghusal wajib nahi hoga, kyun keh Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11382
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam Mukhe pochna tha ke agar aik sath do gusal wajib hu aur aik ki hi niat kare tu kiya dosra gusal utarna parega. ghalte se aik ki niyat kare. ayatullah sistani

Answer: jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyat kar ke aik ghusal kar sakta hai, aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No# 387). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11433
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Allama sb mera sawal ye ha k gusul k bad namaz parhny kaliy wazu krna zruri ha ya nai ?? Sistani sb k fatway k mutabiky

Answer: 1.Agar ghusl e janabat hai tou zaroori hai k wuzu na karay. 2.Ghusl e istihaaza mutawasitaa mai ghusal k baad wuzu karna laazimi hai.(For females). 3.Baaki tamaam wajib or sabit shudda mustahab ghusl k baad namaz parh sakte hain wuzu karna zaroori nahi hai agar chey ehtiyaat e mustahab hai k wuzu bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 389). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!