Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum . Nahana ka baad ghusl kaar sakta ha jaab pura badan gela ha us ka upar ghusl thik ha

Answer: jee han, nahane ke baad ghusal kia ja sakta hai is shart ke sath keh ghusal me baal barabar badan bhi undhula na reh jaye, matlab ghusal ka pani pori tarah (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani D.B, Tauzeeh Ul masail, Masla no # 373). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11467
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi se boso ki are krne se ager qatre nickel Jain Lakn us me mqsed kuch aur na ho saath me kamzoori bhi ho to kia gusel wajib hota hai

Answer: 1 agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusl wajib hojaey ga lekin ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani ya koi or ratoobat to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai 3 sharait hon ye hen 1 shehwat k sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne k bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki sari ya kuch mojood nah hon to wo mani ka hukm nahi rakti yani use mani nahi kahenge, lekin agar insan beemar ho to phir zaroori nahi keh woh ratoobat uchal kar nikli ho aur uske nikalne ke waqt badan sust hojaye balkeh agar sirf shehwat ke sath niklay to woh ratoobat mani ke hukum mein hogi. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41, edition maslah 345). wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat sex ubharne pr mard k aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazzi kehte hen or wo paak hai or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41 edition maslah 70 s no 6499). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum..! mene poochna tha k biwi k agay daal kar rakhna or kuch jhatkay maar kar or taskeen hasil kar k bina faarigh hue e nikaal lene se ghussal karna parta hai??

Answer: Dukhool k baad chahay mani kharij ho ya na ho namaz ya is jaisi degar ibadaat k liay dono ko ghusl karna laazim hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ehtalam honay ki wajah say ghusal krny k bad saray kapray bdalna zarori hai yan sirf WOhi kapra bdal lain jin par Mani lagi hui hai

Answer: ghusal karne ke baad kapre badalna ghusal karne ki sharait me se nahi hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 356-389 ) Note : namaz ya in jaise dosri ibaadaat jin ke liay jism ka aur libas ka paak hona shart hai unke liay woh kapray jo najis hain badalne parenge. [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11480
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hambastry sa pehla muja qatra ata Hain.us k bad shawat hunbis

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11487
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA agar biwi ko hat say discharge Kiya jaye to aurat par ghusal Wajib ho jata hy?

Answer: Jee han , is se aap ki biwi par ghusl wajib ho jaye ga. Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shohar k sath hambistari k bad bina sir dhoye pak ho sakte h ..? Kyunki mera bachcha or me bimar h thand se or meri thand usko lgegi kyunki me feed krwati hu

Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir gghusl e janabat kia jaey ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#659). [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Alaikum Ghusl k waqt pani ningalna hai ya kulli karna kafi hai

Answer: Ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11504
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: salam alaikum agar mard munjib hai or juma ka din ho to use ghusl kis tarha karna chahiye kya ghusle janabat ke sath ghusle juma ki bhi niyat kar sakta hai ek hi ghusl me

Answer: wsalam.jee dono ki niyyat kar k aik hi ghusl kar sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 387). [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Mera sawaal yeh hai ki mani nikalne Ka shak ho aur lapse Dekh Kar shak ho ki Woh mani hai ya nhi toh kya hum paak rahenge?

Answer: Agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusl wajib hojaey ga lekin ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani ya koi or ratoobat to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai 3 sharait hon ye hen 1 shehwat k sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne k bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki sari ya kuch mojood nah hon to wo mani ka hukm nahi rakti yani use mani nahi kahenge (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41, edition maslah 345). [Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!