Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir ma yeh janna chahata hn k periods k duraan wife touch wagara se discharge hojaye achanak without intercourse to is ma kiya masaahil hojaty han .

Answer: 1- Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)” 2- Jis shaks per kae(many) ghusl wajib hoon wo in sab ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay or zahir ye hay k agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay tu wo baqi ghuslo k liay kafi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 387). Note: is fatway se 3 baatain wazeh ho rahi hain k 1-aap ghusl e janabat or ghusl e haiz dono ki niyat ker k aik hi ghusl ker sakti hain. 2-aap ki merzi hay k ghusl e haiz ki niyat ker k ghusl haiz karain or phir ghusl janabat ki niyat ker k ghusl e janabat Karain. 3-aap kisi aik ghusl ki niyat ker lain tu bhi aap k baqi ghusl ada hojain gay. Maslan aap per ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hay tu aap agar ghusl e janabat niyat se ghusl ker lain tu phir aap per wajib nahi k ghusl e haiz bhi karain. [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O A..! Mera Sawal Ye Hai K Hambistari K Baad Ka Jo Ghussal Hai, Agar Kisi Majboori Ki Wajah Se Wo Na Kar Saken, Paani Na Ho Ya Koi Bhi Esa Masla Hojae, To Filhaal K Liye Kya Kiya Jae ?

Answer: 1)Ghussul e jinabat wajib namaz perhnay kay lea or a.c dosire ibadat kay lea wajib hatahay(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2020 edition, maslah #356) 2)Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna parhay tu zarori hai k pani khareed kr ghusl anjaam day.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2020 edition, maslah#638) [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar chut lagi ho or insan naha na sakta ho or rat ko namak ho jae to kia kare

Answer: Ghusl-e-mayyit k alawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl, jabira wuzu ki tarah hai. Lekin ehtiyat-e-lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyam,mum ka ikhtiyar hai. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat-e-mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare. Agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur Ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam,mum karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338) [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11602
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A. O. A Allama Sahib. Ap se ek sawal ka jawab pochna tha. Jb Insan ko Ehtlam ho or wo foran se apni eyes open kar le lekin pir bhi thori si mani os ke kapron pe lag jay to kiya os py gusal faraz ho gah ya nhi.....???

Answer: Mani ki chahay miqdaar ziyada ho ya kum us par ghusal wajib hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya masturbation krty krty jesy hi nikalny lagy or main rok loun , or phr jhatkay b lagy lekin bahir na aye , tab b gussal farz hai?

Answer: Agar mani apni jagah se harkat kare laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho keh mani kharij hoe hay ya nahi tu is par ghusl wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#351). [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A agr raat ko ehtlaam ho jay to kaproo or bister k bary main kya hukam hai.or ehtlaam waky kapry pehny kisi jgah beth jain to kyaa hukam hai or agr wesy e logo sy mil lain ya sukhy kproon k sath khi beth jain to kya hukam hai.

Answer: 1) Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356) 2) Kapron per jo mani lagi hoi he wo najis hay. aur aap ne jo najis kapray pehanay hoye hen agar najast aap k jism tk ya bistre tk muntakil ho jae to badan bistar najis ho ga aur jo hissa najis hua ho faqat os hissay ko hi paak krna ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janabat kay bad peshab kar kay ghusal kyia aur us kay bad agar qatrat ayain tou kya hukam hai

Answer: Peshab k baad ap nay agar istabran na kia ho or koi mashkook rurubat naiklay wo najis hay bus us jaga ko pak karna ho ga or aap ka ghusl batil nahi hay..(Ref Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edition 2019 masla # 71) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar gusal Haiz Kar liya Jaya kafi ha ya jinabat Karna bhi satori hay

Answer: Halat e haiz main ghusl e janabat kerna sahi hay, isi terah haiz k khatam hone k baad ghusl e haiz or janabat dono ki niyat ker k aik ghusl kia jasakta hay or isi tarah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki ja sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen,part#1,Mafhoom e Maslah #233). [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11717
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar Mani na niklay to bhi gusal wajib hoga

Answer: Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu os per ghusl wajib nahi hay, laikin agar hambistari kare or mani nah nikle tab bhi ghusl wajib ho jaata hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 348,351). [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11725
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Aghar rat ko soty me itlam ho or mani nikalne say pehlay hi ankh khol jae or mani na jisam pay or na kapro pay lagy to kia gusal farz ho jata hay kia?

Answer: Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu os per ghusl wajib nahi hay lakin agar bahar aajaey to gusul wajib hay...(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 348,351). [Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!