Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11773
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How many times can I say my prayers after ghusal ? For example if I perform ghusal before duhr can I offer asar in same ghusal or wuzu is must

Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389). [Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya ghusl e janabat foran karna zaruri hai? Agha Sistani

Answer: Ghusl-e-Janabat fauran karna zaroori nahi ye sirf wajib namaz parhnay ke liye aur is jaisi dusri wajib ibadat ke liye wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#356,1605) [Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11785
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar insan ko waqt ka pata n ho or wo ghusl wajib or mustahib dono niyaat k sath alag alag kare to Kya ghusl ho gae ga

Answer: Jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyat kar ke aik ghusal kar sakta hai, aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No# 387). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11792
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar insan ko waqt ka pata n ho or wo ghusl wajib or mustahib dono niyaat k sath alag alag kare to Kya ghusl ho gae ga

Answer: Agar kisi shaks per wajib or mustahab ghusl jama ho jain tu wo tamaam aghsaal ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay. Isi tarah agar kisi shaks per gusl e janabat ho, or wo kisi dosray ghusl maslan ghusl e juma ki niyat ker lay tu bhi ghusl e janabat ka ghusl ho jay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #210) [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11803
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khade hokar ghusal karna makro hai

Answer: Beth kar ghusul karna zarori nahi hai balkeh khare ho kar bhi gusl kar sakte hain. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 360) (Note: khare ho kar gusl karna makroh nahin hai.) [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa allama sahib ma ye pochna chahta hon k misal k tor par agr ma rajab k maheny ma gusal krna chahta hon to uski neyat bta den..plz

Answer: Ye zaroori nahin ke gusl ke waqt ye niyat ki jai ke wajib gusl kar raha hon ya mustahab bulka faqat qurbatan illaha yani bergah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karain to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusl karte waqt agr beech main wazu toot jaye toh kya humara ghusl nhi hoga ? Agr nhi hua toh hum kya kare ?

Answer: Agar ghusl k doran kisi shakhs se hadas e asghar sarzad ho jey maslan peshab nikal jay to us ko ghusl ko tark kar k shru se ghusl karna zarori nahi he balke wo apne is ghusl ko mukammal kar sakhta he is surat me ehtiyat lazim ki bina per wuzu karna bhi zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384,389) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11870
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hum ghusl karte waqt counting bhool jaye, toh kya kare ? Jaise 3 times se Zyaada hum apne jism ko dhoye ghaflat main toh ghusl hoga ?

Answer: Koi haraj nahin hai. Aap ka ghusl saheeh hai. Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusl karte waqt agr beech main wazu toot jaye toh kya humara ghusl nhi hoga ? Agr nhi hua toh hum kya kare ?

Answer: Agar ghusl k doran kisi shaks se hadas e asghar sarzad ho jaey masalan pehsab kar de to us ghusl ko tark kar k naye siray se ghusal karna zaroori nahi hai balkeh woh us ghusl ko mukammal kar sakta hai us surat men (ehtiyaat e lazim ki bina par) wuzu karna bhi zaroori hai lekin agar woh shaks ghusl tarteebi se ghusal irtimasi ki taraf ya ghusl irtimasi se ghusl tarteebi ki taraf palat jaey to wuzu karna zaroori nahi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, maslah #384,edition 41, https://www.sistani.org/urdu/book/61/3631/) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aurat baal dhoye bgair gusal e jannabat kr sakti hai?

Answer: Gusl me un chote chote baalon ko jo badn ka juz sumar hote hein dhona zurari he aur lumbe baalon ka dhona wajib nahei he bulke agar pani ko jild tak is terha penchai ke lambe baal tar(geela) na hoon to gusl sehai he lakin agar unhein dohee baager jild tak pani penchna mumkin na ho to unhe bhi dhona zurari he ta’ke pani badn tak pench jay. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla # 378) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!