Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16605
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr urat ko halat jinabat ma haiz hojaye to gusul jinabat ka Kiya hukum ha

Answer: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke (masalan haiz ka khoon mukammal khatam hojaane ke baad )aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai. (Note: is fatwe se 2 baatain waazeh ho rahi hain: 1. Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz aur ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. 2. Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam day aur phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,457). [Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر عورتُ کو کسی بیماری کی وجہُ سے اپنی شرمگاہ میں انجکشن سے دوائ لگانی ہو توو کیا اس کے و بعد غسل واجب ہے؟

Answer: Is se ghusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16667
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Musht zani k baad ghusal Ka tareeka kaisa hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar aur gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. 2: Ye baat aap zehen nasheen kar len ke Istimna (musht zani, mmasturbation, ya hand practice (yani kisi bhi tariqe se mani kharij) karna ye aik Haram kam hai aur gunah e kabira hai. aur medical point of view se bhi is ke nihayat bure nataaij paye jate hain. 3: Musht zani ke nuqsanaat: sar o badan ka dard, gas banna, bahazmi, laghari aur dubla pan, susti aur kahili, dimaghi kamzori, yadasht ki kamzori, aankh ki kamzori, asaab, pathon aur hadion ki kamzori waghera jaisi beemariyon aur pareshaniyon ka saamna karna parta hai. 4: Jo koi shadi na hone ki wajah se haraam kaam me mubtela hota ho (jaise ke musht zani) to us par wajib hai ke shadi kar lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,2407. + Jadeed fiqhi masail, maslah #462, pg #253. + Minhaj ul Saliheen, Part #1, Maslah #30). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16697
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mjhe Yeh Janna h k ghusal nahanay se phle anjam dena chaheay ya nahanay k bad bhi de skty hain especially ghusal e janabat or ghusal e haiz

Answer: Yeh har insaan ke ikhtiyar me hai ke pehle ghusl kare ya pehle naha lay. agar pehle ghusl kiya jaye tab bhi saare jism ka paak hona zaroori nahin hai balke agar ghusl ke iraade se paani badan par daalne se badan paak ho jaaye to ghusl sahi hoga. Albatta yeh zaroori hai ke jis paani se ghusl kiya jaye kar raha hai wo tahaarat ki haalat se khaarij na ho jaaye. Maslan kur paani se ghusl kar raha ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #371). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16719
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujh par ghusal farz hai par halaat ke mutabiq mere liye ghusal karna mumkin nahi kiya main sirf wuzu main namaz ada kar sakta hun kyun ke namaz ka waqt he

Answer: Agar majboori (halat) aisi ho ke shareeat ki nighah me qaabl e qubool ho aur jis ki wajah se ghusl na kar sakte hon to is ke badle wuzu kar ke namaz nahin parh sakte, balke agar tayammum karne ki tamaam sharaait maujood hon to ghusl ke badle tayammum karna zaroori hai aur is tayammum ke sath hi namaaz parhi jaa sakti hai aur wuzu karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #712,713). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya srf sharamgah ka sharamgah se touch hone pr ghus wajib ho jta hai?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jate hain. (yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat wajib hoga). Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na hua ho balke sirf upar upar se touch hua ho to is surat me ghusl wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16745
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gusl e janabat Thursday ko nhi Krna chahiye ya is din se related koi bhi details ho to share kriye

Answer: Aisa kuch nahin hai, balke jis din bhi ghusl e janabat karne ka sabab pesh aaye us din ghusl karna hai aur agar ghusl nahin karen gi to namaz kese parhen gi Q namaz aur is tarah ki ibadat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz me mase mayyat ka gusl

Answer: 1: Haiz ki halat me mass e mayyit ka ghusl karna zaroori nahin hai, Han agar aap chahen to abhi fauran mass e mayyit ka ghusl kar len ya phir haiz se pak ho jane ke baad haiz ke ghusl ke sath mass e mayyit ka ghusl bhi kar sakti hain. 2: Jis kisi (mard, aurat) par chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16789
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam .....agar kisi insaan ko dou ghsl krny ho jese ghsl haiz r ghsl jinabat r ghsl krty tym usko sirf ek ki niyat ki ...kya voh nimaz pd skta h

Answer: Jee han, kisi aik ki niyat se ghusl kiya jaa sakta hai aur namaz bhi parh sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager shohar sy Milny k bad pak ho kr Namaz phar len or thori dyr k bad pher sparms yani mony ka pani nikly to agli Namaz bager nahay phar sakti hun???

Answer: Mani nikalne ke baad mard ke liye peshaab karna mustahab hai aur ye amal Istibraa kehlata hai aur ye Istibra isi liye kiya jata hai taakeh ye yaqeen ho jaye ke ab (peshaab ki) naali me mani baaqi nahin rahi, lekin agar koi mani nikalne ke baad peshaab nah kare aur ghusl ke baad us ke makhraj e peshaab se rutoobat khaarij ho jis ke baare men wo na jaanta ho ke mani hai ya koi aur rutoobat to woh rutoobat mani ka hukum rakhti hai aur wo shakhs mujnib hoga (yani us ko aise surat me dobara ghusl e janabat karna hoga). Lekin aurton ke liye Istibraa nahin hai aur jo mashkook rutoobat un se kharij hoti hai wo mani ka hukum nahin rakhti. (aur agli namaz bager ghusl kiye parh sakti hain). Jo ratubat mulabat (khail mood) ya shewat angheiz tasawwuraat ke waqt khawateen sharamgha me mehsoos karte Hain itne miqdaaar me na ho ke degar jaghaao ko aaloda kare tu Paak hay or is ke lie gusal nahe hay or ye wazu ko bhe batil nahe karte hay .hah agar ratubat is qadar ziyada ho ke inzaal khelaae or libaas ko aaluda karde jabke Sath Sath aurat hejaan sehwat ki inteha ko pouch jaay or mukammal razamandi (orgazm) ho tu najis or janabat ka mujib hay balke agar hejaan shewat Sath na bhe ho tu bhe ehteyat lazim ki Bina per najis or janabat ka mujib hay or in maqamaat per jaha aurat shak kare ke ratubatis had se ziyada pouche hay ya nahe or ya kud ratubat ke kharij hone me shak kare ,tu gusal wajib nahe hay or wuzu or gusal bhe batil nahe hay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, Maslah #434,tauzeeh ul masail ,aqa sistani,masla #345,edition#1444). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!