Question: Salam o Alekum, Mujay Ghosul e Janabat ka tariqa batadain
Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Khoe(d.b), tauzee hul masail,maslah#367-372).
Question: assalamu alaikum wat is the dua for gusul-e-jinabat(At first night(hambistari ke bad), mard our ourat keliye gusul ki duva kya hai?) 2) kya shadi se pehle hambistaree gunah hai?( shadi hone valee ladkike sath)
Answer: 1)Ghusl e janabat kertay wqat dua perhna wajib nahi hay.ye dua perhna behter hay. Çáªã ØªÑ ÞáÈی æÇÔÑÍ áی ÕÏÑی æ ÇÌÑ) (Úáی áÓÇäی ãÏ Íʘ æÇáËäÇÁ Úáی˜ Çááªã ÇÌÚáÀ áی تæÑÇ æ ÔÝÇÁ æ äæÑÇ Çä˜ Úáی ˜á ÔیÁ ÞÏ یÑ۔ “allaahumma tahhir qalbee washrah lee sadree wa ajri alaa lisaanee midhatak wassana.a alaik allaahummajalho lee tahooraa washifa awa nooraa innaka alaa kulli shaein qadeer.” 2)Nikah say pehlay hambistari kerna haraam hay.(Ayatullah Seestani(d.b),jaded fiqhi masail,maslah # 429).
Question: Ghusl kab wajib hota hae?
Answer: Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62). 1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2. Haiz wo khoon he jo umoman har mahinay chand dino k lie auratoon k raham se kharij hota he aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to osay haa’iz kehtay hein. Aur haiz se pak honay k bad ghusl e haiz kia jata he. 3. Jab Bachay ka pehla juz maa k pait se bahar anay k waqt se 10 din tak jo khoon aay wo nifaas ka khoon kehlata he. Aur is me bhi ghusl karna hota he. 4. Aurat ko jo khoon aata he agar wo 10 din se barh jay to os ko istehaza ka khoon kehtay hein. Is me bhi ghusl e istehaza karna hota he. 5. Agar koe shakhs kisi aisay murda insan k badan ko mas karay jo thanda ho chukka ho aur jisay ghusl na dia gya ho to chunay walay per ghusl e mas e miyyat karna wajib he. 6. Miyyat ko tarteeb se teen ghusl dena wajib he: 1 :Aisay pani se ghusl dena jis me bairi k pattay milay huay hoon. 2 :Aisay pani se ghusl dena jis me kafoor mila hua ho. 3 :Khalis pani se. 7. Agar koe shakhs mannat manay ya qasam khay ya ehed karay k apnay upper ghusl ko wajib kar le to phir os per ghusl karna wajib ho jay ga magar is me shara,it hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344-558) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 1. Koi Shaks Ghusl Tertibi fix shower or telephonic shower mein karta hai to us ka Gusal sahi hai. 2. Agar ek office mein Washroom saaf karne wala Hindu hai aur hum waha wazu karte hei to us ke liye kya hukum hai? Wsalam,
Answer: jee haan, Tertibi ghusl fix shower or telephonic shower se kerna sahi hay. Laikin shower se ghusl kernay walay ko chahiay k wo sar or gerdan ko mukammal dhonay k baad ehtiyaat e wajib ki bina per apnay sar ko shower k pani se juda karay or is k baad dobara ghusl ki niyat se badan ko shower k paani main lay ker jay or badan ko dhoay. (Ref : Al-Masa,ilul shariyah,Part#1, Ayatullah Khoe (r.a.),pg#50, Masla # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ghosal karnay ka tarika compleat
Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rhe ho to peshab k katre niklne se ya hiwa harij ho jane se gusal par koi asar parta ha yar phir bi gusal ho jaye ga
Answer: Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384). Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rahe hote ha to during the gusal agar phesab k katre nikal jaye ya hiwa harij ho jaye to gusal ho ga ya nahi yar agar nahi to kia karna chaye jab aap ko sure no ho k peshab k katre nikle ya nahi thank
Answer: Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384). Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa hazrat sb. ghusle janabat mein kano mein geeli ungali phairni hoti he ya duya jata he plz. jawab jaldi degiaga
Answer: Ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he lakin kan aur nak k androni hissoon ka aur har us cheez ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 373)
Question: gozal karnay ka sahi tarika or neyat?
Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia aurat aur mard k ghusl-e-janabat main farq hai ya nahin agar farq hai to kia farq hai
Answer: Mard aur aurat k ghusl e janabat krnay mai koi faraq nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).