Question: aoa...main 17 saal ka hogya hun aur meri money nikli hai tou ghusal karne ka tareeqa kya hai? mainkaise pak hunga??
Answer: 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) 2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383) 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) 3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ya ghusal kay faraez poray karnay se ghusal ho jata hay?
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zarori nahi ke ghusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar raha he balkeh faqat qurbatan ilallaah yani baargah e alaahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe gusl ki sahi niyat ke bare me janna hai?
Answer: Ye zarori nahi k ghusl k waqt ye niyat ki jay k wajib ghusl kar reha hoon bal keh faqat qurbatan illaah yani baargah e illahi me farotni or aajizi k ireda se ghusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nafas ka gusl kis tarike se kiya jata hai .plz bataye
Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
Question: Nafas ka gusl kis tarike se kiya jata hai uski kya duwa hai.plz bataye
Answer: Tamaam wajib or mustahab ghusl ka tareeqa aik hi hay.ghusl e nifaas ka bhi tareeqa waisa hi hay jaisa ghusl e juma ya janabat ka ghusl. ghusl main koe bhi dua perhna wajib nahi hay. Ghusl ka tariqa: Sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa(Right) or baad main ulta(Left) hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360)
Question: 1. awratoon ke kitne gusool hain or kon kon se? 2. agar awrat ko kisi bina per muni nikalti hai tu gusool wajib ghai?
Answer: 1) Aurton per 7 ghusl wajib hain: 1) Ghusl e Janabat 2) Ghusl e Haiz 3)Ghusl e Nifaas 4)Ghusl e Istehaza 5)Ghusl e masay mayyit 6)Ghusl e mayyit 7)Wo ghusl jo nazar ya qasam waghairah ki wajah say wajib ho jaay. Or agar chaad ya soraj ko mukammal girhan laga ho or mukallaf jaan boojh ker namaz e ayaat nah perhay yahaan tak keh namaz qaza hojaay tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh is namaz ki qaza k liay ghusl karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#344 ki heading). 2) Jee haan, aurto k jism say bhi mani kharij ho tu on per bhi namaz perhnay k liay or aisi hi dosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hojata hay.Wo rutubat jo aurat say shewat k saath kharij hoti hay, agar is had tak ho keh osay inzaal(discharging of semen) or libaas ko aloodah(dirty) kerday,ye aam taur per os waqt nikalti hay jab aurat hijaan e shewat ki intehaa(maximum stage of lust/sex) tak pohanch jay,tu aisi rutubat najib bhi hogi os is k nikalnay per aurat ko ghusl e janabat bhi kerna zarori hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345,356).
Question: please send gusul ki dua in english .so i can read dua in english and menthod
Answer: Ghusl ki dua : Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-u-Alaikum, could you please tell me the correct way for Ghusal after Menstrual period?
Answer: 1)Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay. is ka tareeqa ghusl e janabat ki tarah he. 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. 3) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #456 , 360-365, 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam ale kum janab , meri hone wali biwi ghair muslim hai iss liye ussko ghusl nahi aata , jaise ke ghusl e haiz ki niyat aur aehkaam, kaise anjaam diye jaye , zara mukammal taur par batae. khuda hafiz
Answer: 1)Musalman mard ehl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Laikin yahoodi aur essai auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ethiat ki bina per un se daimi aqad na kia jey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362) 2)Aurat k haiz se pak ho janay k bad is per wajib he k namaz aur doosri ibadat k lie jo wazu , ghusl , ya tayammum skar k baja lana chahaein ghusl karey aur is ka tareeqa ghusl e janabat ki tarha he. 3) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. 4) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #456 , 360-365, 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ghusal ka tareqa tatib war baten ke pehle kya karna hai us ke aur esi tarah???
Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)