Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7037
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: doran e haiz aurat quran pak ki kitni ayyaat parh skti hay? aur is doraan manajat parh saktay hain k nahi ziarat.e. ashra wagera?

Answer: Sura e Sajda ki ayat no 15, Sura e Haa-Meem ki ayat no 37, Sura e Mubaraka e Wan-najam ki ayat no 62, Sura e Alaq ki ayat 19, in aayatoo ke ilawa pura Quraan o Dua phar sakti hai, garche in ke ilawa 7 se ziyada Quraan e Majeed ki ayaat pharna makrooh hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager bivi ki mahwari ko 10 din se ziada arsa ho jae yani 10 din guzarne k bawajood bleeding ho tab b hambistri haram hai. Plz jaldi Jaza ka Allah

Answer: G nahi ham bistry haram nahi h, kun ke ye koon e haiz nahi hai balke 10 din k bad ka khoon istahaza kehlata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 426 , 438 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ke haiz aane par wo roja nahi rakh sakti

Answer: Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a sir mujhy mensis ka problm hai din uper ho jaty hain plz koi dua btain k mensis time pa ain

Answer: wssalam o alykum, orat ki haiz ke lehaaz se 6 qismain hain, un main se 2 ye hai ke 1

Id: 7592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hy k Rozsy ko halat ma kb tk haiz ho tu Roza ni tootta ma ne suna hy k din ko 12 k baad agr haiz start ho tu Roza ho jata hy thanxs

Answer: G nahi aysa nahi hai balke Ager Azaan e Magrib se 1 minute pehle bhi haiz ka koon aa jaae to roza batil ho jata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1612 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7688
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my married hu.mere 2 bachhe hi.my ne suna hi periods ke 5 me din me owrat ko gusul chadega.kya ye such hi/

Answer: jab periods katam hojaain to namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7696
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hum periods k doran shab e qadar ki rat ko kon kon si ibadat kr sakty hain?

Answer: Quraan e Majeed ki un ayato ke ilawa jin main sajda wajib hai baqi Quraan or tamaam duaao or ziyaraat ko hath lagaae bageer phar sakte hai, lekin Quraan e Majeed ki 7 se ziyada ayato ko parhna makrooh hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 7768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat ka haiz k dinon me darbar ya qabrstan jana thek hai k ni.????plz zror reply kryn..shukyia

Answer: jaiz hai, lekin 12 Imamo (a.s) ke Haram main therna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #354 , 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7859
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can women eat niyaz,rectie darood pak and sit in the gathering of hadis e kisa in days of haiz?plz must ans me.

Answer: yes, she can. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 84 , eidition # 1 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7926
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haiz ka khoon bnd hone k baad agr ganda pani ata rhe or 10 din baad mukamal bnd ho jay to tb nahana chahye ya khoon bnd hone k baad naha lena chahye?

Answer: Agar kise aurat ko 3 din se ziyada aur 10 din se kam khoon aahe aur ise ye ilm na ho ye khoon phore ya zakam ka hai ya haiz ka hai to zarori hai k is khoon ko haiz na samage (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #443 ) Agar kise aurat ko aisa khoon aahe jis k baare me ise ilm na ho k zakam kan khoonn hai ya haiz ka to zarori hai k apne ibaadaat (namaaz, roza waghaira ) baja laate rahe laikin agar is ki sabeka halat haiz ki rahe ho to is surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #444 ) Agar kise aurat ko khoon aahe au rise shak ho k ye khoon haiz hai ya istehaaza to zarori hai k haiz ki alaamaat moujood hone ki surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #445 ) Agar kise aurat ko khoon aahe au rise ye maloom na ho k ye haiz hai ya bukaarat ka khoon hai to zarori hai k apne baare me tehqeeq kare yaani khuch rohe sharamgha me rakhe aur thori dair intezaar kare phir roi bahar nikale paas agar khoon roi k atraaf me lagha ho to khoon bakaarat hai aur agar saare ki saari roi khoon me tar ho jaay to haiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #446 ) Agar kise aurat ka khoon 10 din ghuzarne se phele ban ho jaay aur is baat ka ehtemaal ho k is k batin me khoon haiz hai to zarori hai k ya ehteyaat karte hoay ibaadato ko anjaam de ya istebra kare aur istebra kiye baghair ibaadat ko tarak karna zarori nahe . istebra ye hai k apne sharamgha me roi rak kar khuch dair intezaar kare . hah agar is ki aadat aise hai k haiz k dourain bhi is ka khoon khuch dair k lie rok jaata hai jise k baaz aurato k baare me aisa kaha jaata hai to zarori hai k is miqdaar se ziyada dair tak intezaar kare is k baad nikaale pas agar khoon agar khoon khatam hoghaya ho to ghusal kare aur ibaadaat baja laahe aur agar khoon ban na hoya ho ya thora sa yellow paani lagha ho .pas agar wo hai ki moaiyan aadaat na rakhte ho ya is ki aadat 10 din ki ho ya abhi is ki aadat k din tamaam na hoe ho to zarori hai k intezaar kare aur agar 10 din se phele khoon khatam ho jaay to ghusal kare aur agar daswe din k khateme per khoon aana ban ho ya khoon 10 din k baad bhi aata rehe to daswe din k endding per ghusal kare aur agar is ki aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho k 10 din khatam hone se phele daaswe din k khatame per khoon ban ho jaay gha to wo ghusal nahe kar sakte . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 496) Haiz ka khoon umoman ghara aur kharam hota hai aur is ka rank siya ya suruk hota hai wo these se aur thore se jalan k saat kharij hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #432 ) Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiznahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!